Details
Tayagi
Website | ||||||
Description | Tayagi aik aisi achhuti or munfarid dastan hay, jisay qaereen paRhtay hoe uski dilchaspioN or ranginioN mein kho jaienge. UmangoN, ArzooN or jazboN se bharay hoe aik nojawan ki dastan, dunia ne uske saath bohot zi zayadatian kien, in rawaioN se tang aa ker, usne apni zindagi khatam karne ka faisla ker lia, lekin qudrat ke khel niralay hotay hain. Abhi uski zindagi mein bohot se aise waqieat pesh anay thay jo dilchasp bhi thay or anokhay bhi. Aik pur israr or an dekhi quwwat uske sath shamil ho gaie. Uska kahna tha keh woh uske lie takhleeq ki gaie hay or isay uske lie zinda rahna hoga. Is anokhi or pur israr quwwat ne uski zindagi ka rukh yaksar tabdeel ker dia. Uski zindagi herat angaiz waqeat se pur ho gaie. Woh bhi is quwwat ko chahnay laga, jisne uski zindagi ka dhara tabdeel ker dia tha. Zindagi se farar hasil kerne walay is nojawan ki dastan-e-herat, jiski zindagi ki zaamin aik pur israr quwwat ban gaie thi. |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | webmaster | |||||
Views | 40892 views, 11 incoming clicks. Averaging 6 views and 0 incoming clicks per day. | |||||
Incoming Clicks | 11 | |||||
Related Listings | ||||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 06:17:2007 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on Tayagi
maien tu yeh hi kahoon gaa kay Hashmi sahib tharkiyoon kay doctor lagtay haien. is say tu achaa tha kay sex kay opper khul kaar koi kitaab likh detay action novels kaa naam tu kharab naa hutaa.
plz must loaded PDF format file in all Novals
all books is very very good plz its expaned for there catageries
God Bless On "Kitaabghar"
mere khayaal se ooper jo comments milen hain unhen parhne k baad mjhe kch kehne ki zaroorat nahi hai.....!!!
phir bhi kch kehna chahoon gaa
haan kahani mazedar ho saktio thi agr baton ka khayal rakha jaata
jese thora realistic hota...excessively sex aur driking ko highlight kiya gaya hai..........which makes it quite vulgur
kahani main ramesh ka comedy chaaracter acha thaa....!!
wese aisa laga jese yeh novel boht se novels ka charbaa hai.....formula story hai....aur us formula ko use kerne main author nakaam hoye hain
i want to sya the novel was very bad.i would like say to writer plz aap novel likhna chod dein aur koi doosra kaam karein meherbani hogi.
main kitaabghar walon se request karta hoon pls meri baat writer tak pahucha dein.
khan
Yeh naoel Urdu Adab per badnuma daagh, Haqueequath se koson door or behoodha bakwas hai. Is novel ka na koi plot hai na sar aur na pair. Na hi is men koi thasulsil hai na suspense. Aisa lagtha hai ke navel nigar ne apni aubash aur gandi zahniyath ki naakaami ki jhijhilahat mitane ke liye ise likha hai. Yaqueen naheen aatha ka aisi aubash zahniyath rakhne wala Doctor apni khatoon mareezon ko kis nazar se dekhtha hoga. Kam az kam ek muslim Doctor ko ithni gandi aur aubash zahniyath ka tho naheen hona chaahiye.
Agar aap shareef insaan hain tho is novel ko math padhiye.a
pls upload novel of TARIQ ISMAIL SAGIR novel name is QUMANDOO or another novel MAIN IK JASOOS THA really believe me aap loog yeh novel perhoo really reaallyy these are classic ones.
yeh kia bakwas hai suspence se zyada is main sex per roshni dali gai hai yeh novel haqeeqat se bhot door hai aur pata nahi writer yeh sab likh kar kia sabit karna chahta hai sab logon ko sirf aik mashwara don ga har giz mat paro agar apna waqt bachana chahte ho
Samajh main nahin aya kay novel keun likha hay ?its veryyyyyyyyy
boring and doesn-t have a plot or a suspence.
We should allwritetoQueen of England that onher next birthday give Dr.Hashmi a title of Sir, If Salman Rushdi can get it he can get it too, these are both garbage books and not doing any good toAdab. I beleive Dr. Hasmi should seea Psyciatric help. His brain is getting dried up
I think the novel was not that bad...but the whole ending of the novel was in last six or seven pages....which made this novel....a bad one....