Details
Sab Theek Hay
Website | ||||||
Description | This book contains collection of single act and full length stage dramas by Iqbal Niazi. He is a very famous and honoured indian Drama Writer, Director, Journalist and Story Writer. He and his work won many literary medals and awards including best drama, best drama writing and best director. Following dramas are included in this book: Hum sirf compromise kertay haiN (We only compromise), Khassi Kara lo (Be impotent), Dhondo budha kahaN hay (Search the old man), Daku Aa rahay hain (Robbers are coming), or kitnay jalyanwala bagh (how many more jalyanwala bagh?). |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | webmaster | |||||
Views | 24613 views, 1 incoming clicks. Averaging 4 views and 0 incoming clicks per day. | |||||
Incoming Clicks | 1 | |||||
Related Listings | ||||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 01:23:2006 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on Sab Theek Hay
Respected Sir, I m Looking For drama "Bijuka Zinda Hai" By Iqbal Niyazi, I M unable to get it from the book Stalls so please help me to get it.
kiya is se bhi gatiya drame ho sakte hain, yeh saheb khood apne dramon ko ker sakte hain? agar haan to in se kahiye apne dramaon ko pabandi ke saath karen, aaj urdu main dramon ki nahi pabandi se dramon ko kerne walon ki kami hai, is qamash ke log sirf guftar ke ghazi hain, urdu drame ke kisi saminar main sirf magarmuch ke aanso bahate hain aur sirf doosron ki burai karte hain amali qadam uthao bhai bhut bolna ho gaya ab kuch kaam bhi karo.
main aap ka bohat bohat shuker guzar hoon kay aap nay ek aise website de jo 9 jawan larkoon kay liay faida mund hai ok pher aik bar shukria allah hafiz.
-SAB THEEK HAI- {JALIANWALA BAUGH 89-} Aslam Pervaiz ka likha hua hai.
Chori aur itni deeda-dileri se!
Dramanigaar banne ka Iqbal Niyazi ke paas bada achha nuskha hai, Drame ka naam badalo aur writer ki haisiyat se apna naam de do!
Un ki beja tarafdari (chamachagiri) karnewalon ke paas iss ka koi jawaab hai???
Haqeeqat mein yeh poora group hi doosron ki taqhleeq {khas kar Gujrati/Marathi zabanon ki takhleeq} per khud ko Urdu adeeb manwana chahta hai.
Ab jo imaandaar {original) writer hain un per yeh apna frustration nikalte hain!
Kya Kitaab Ghar aise chor writers ko nazar mein rakhega!
be intahai bakwas drame hain sirf inmaat ki lambi chodi list hai, jin logo ne inamat diye hain wo kitne qabil hain us ka andaza drame padhne ke baad hi chalta hai, aaise dramaon se behter hai urdu main dramon ka na hona,urdu dramon ki shandar qadeem rawayat per yeh drame kahre nahi utrete aur nahi inhe dramaon ki sinf main rakah ja sakta hai.apne dedh inch ki theatre ki mandir banane wale aise adeebon ke khule dil se duniya ka mutala kerna chiye,dunya-e-adab kizarooraton ko samjhna chiye aur ghtiya dramon kop shaae kerne se grez kerna chiye.
sab thik hai main kuch bhi theek nahi hai abhi bahut manzilen tae karni hai apni tareefen karna band kare aur koi acha darma likhen
SALAM AGAIN
MAI AAP KA BOHAT BOHAT THX KARNA CHATA HON KAI AAP NAI ITNE AACHE OR BEST SITE BANAYEE
MAI 16 AGE KA HON BUT AAP KE SITE BOHAT SHOK SAI DEHKTA HON
BOHAT BOHAT THX AAP KA AAP IS MAI OR BHI BOOKS DALIYAI JAI SAI KAI COMPUTER KE MAI COMPUTERS KE BOOKS SHOK SAI PARTA HON......ALLAH HAFIZ{semicolon})
yeh Najma qureshi aur theatre goer na jane kis zahiniyat ke log hain ke unhe har writer ki tasneef mein siwaye keedon ke aur kuch nazar hi nahin aata. main ne in dono ke comments kayee kitabon ke liye dekhe,lagta hai ke agar kisi ne tareefi kalmaat likh diye to ye use radd karna apna paidayishi haque samajhte hai.
a theatre goer anis javed ki kitaab ke mutalliq likhte hain,
Abhi Tou Raat Hai balkeh kali bhayanak raat hai jo Urdu dramon ko andhere mein gum kar rahi hai.
Drama, -Abhi tou Raat Hay- filmy hai.
-Main Aatankwadi Hoon- parh kar gujrati drame, -Hoon Vallabh Nathi- ki yaad aa gayee.
Kahan hai Urdu drama?
Iss se Urdu adab ka kya bhala hua?
kabhi theatr goer ko urdu dramon ki halat-e-zaar pe rona aata hai to kabhi woh urdu adab ka kya bhala hua, is fikr mein duble huye jaate hain. Urdu adab aur urdu adeebon aur shayeron se zyada aap kisi haasid gair urdu khudsakhta adeeb se inspire lagte hain ya shayad rozi roti ka sawal ho aap ke liye?
Maharashtra Urdu Academy ke inamaat ko ginwa kar Anis Javed ne apni chhoti zahniyat ka muzahira kiya hai kyun keh yeh inamaat theatre ya adab mein koi ahmiyat ke hamil naheen.
Khudara Urdu adab ki tauheen se gurez karein!
"Drame parhne ke baad Urdu dramon ke halat-e-zaar pe rona aaya"
-a theatre goer- saheb ,urdu adab ko kiraye ke rone walon ki zaroorat nahi,(agar naam nahin likhna chahte the to urdu ka koyi lafz likh dete .) khair niyazi saheb jaise drama nigar urdu drame likhte hain aur urdu hi ke drame kehelwate bhi hain warna aaj kal to sasti shohrat aur award ke lalach mein kayee urdu drama nigar apni kitaab pehle hindi mein shaye karwate hain baad mein urdu mein aur khud hi publicity ke liye controversy creat karwate hain ke hindi wale unhen hindi ka writer maante hain aur urdu wale urdu ka, goya woh apne aap ko munshi premchand ki saf mein dekhna chahte hain .anis javed saheb ke drame to main ne padhe nahin hain lekin agar dono ka style ek jaisa hai to is me qabahat kya hai? faiz,naresh kumar shaad ,sahir ludhyanvi aur un jaise kayi taraqqi pasand shayeron ke style mein bhi to mumasilat hai, aap unhen ilzam nahin dete ,kyoon? oh sorry ! aap to urdu ke liye kiraye ke rone wale hain,faiz,sahir,shaad wagaira se aap ka kya lena dena?