Details

Sab Theek Hay

Website
Visit Website
Description
This book contains collection of single act and full length stage dramas by Iqbal Niazi. He is a very famous and honoured indian Drama Writer, Director, Journalist and Story Writer. He and his work won many literary medals and awards including best drama, best drama writing and best director. Following dramas are included in this book: Hum sirf compromise kertay haiN (We only compromise), Khassi Kara lo (Be impotent), Dhondo budha kahaN hay (Search the old man), Daku Aa rahay hain (Robbers are coming), or kitnay jalyanwala bagh (how many more jalyanwala bagh?).
Rating
  • 62.2/5
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
3.11/5 based on 9 votes.
Ownership webmaster
Views 24425 views, 1 incoming clicks. Averaging 4 views and 0 incoming clicks per day.
Incoming Clicks 1
Related Listings
Similar Listings
Abhi tou raat hay
Pahar mujhe bulata hay
Mosam Gul heran khaRa hay
Chahat Ka Hay Safar
KahaniaN JanwaroN Ki
Submission Date 01:23:2006

Comments on Sab Theek Hay

A Theatre Goer
Avatar A Theatre Goer
#11 - Quote - Permalink
2 of 2 people found this comment helpful
Posted 07:25:2006 - 10:03:37:

Iqbal Niyazi, Anis Javed se bahot zyada inspire lagte hain issi liye un ke tamam dramon ki technique mein -Abhi To Raat Hai- ke dramon ki jhalak nazar aati hai.
Drame parhne ke baad Urdu dramon ke halat-e-zaar pe rona aaya.
Aamir Shaikh
Avatar Aamir Shaikh
#12 - Quote - Permalink
2 of 2 people found this comment helpful
Posted 07:04:2006 - 18:15:54:

Bahot bahot bahot bahot kharab. Iqbal niyazi ke drame maine dekhe aur padhe bhi magar sab theek hai ke saare drama waqai drame lagte hain koi originality nahi. Pata nahi maza nahi aya
Urdu Theatre Artist
Avatar Urdu Theatre Artist
#13 - Quote - Permalink
3 of 3 people found this comment helpful
Posted 07:01:2006 - 20:49:26:

Iqbal Saheb,
we all appreciate that you have done immense work in urdu theatre , where there is a lack of urdu writers and director, we all counted u as an asset to the current urdu theatre , but it is so sorry to know that most of your work arent your orignals , if sab theek hai had a contribution of aslam parvez, what is the harm to publish that ? everybody expects that People like you should put in efforts in nourishing the urdu theatre which is not happening , can you please have a thaught on this and also if you could give us new and creative plays which we could be proud of ..that would be great ...we are disappointed ..sorry to say ...
Rasheed Baig (Hyderabad)
Avatar Rasheed Baig (Hyderabad)
#14 - Quote - Permalink
4 of 5 people found this comment helpful
Posted 05:19:2006 - 19:27:44:

Really bad plays! Iqbal Niazi should read some good Urdu plays of good urdu playwrights to understand the taste of Urdu readers and audience.I was very happy to see so many drama books on Kitaab Ghar but after reading the content and quality of the plays I am totally disappointed.
Najma Quraishi
Avatar Najma Quraishi
#15 - Quote - Permalink
8 of 9 people found this comment helpful
Posted 03:27:2006 - 20:54:58:

Kisi bhi drame mein kahani hai hi naheen iss liye parhne ka maza naheen aata. Koee bhi drama poora parhne ka dil naheen chaha. Kitaab Ghar se guzarish hai keh khalis urdu mahol ke drame dein. Nawazish hogi.
Naheed A. Khan
Avatar Naheed A. Khan
#16 - Quote - Permalink
2 of 2 people found this comment helpful
Posted 02:12:2006 - 14:19:45:

I find comments more interesting than books I like reading it.
Who is this, A Well Wisher of Kitaab Ghar? Who ever he is but is frank and speaks truth.
ADIL SHAH
Avatar ADIL SHAH
#17 - Quote - Permalink
8 of 9 people found this comment helpful
Posted 02:10:2006 - 10:28:56:

Aftab Hasnain ke liye Iqbal ke comment(KahaniyaN JanwaroN Ki) per Allama Iqbal ke sher ke zariye Aftab Hasnain ka jawab ek fitri aur adbi amal hai. Anis Javed ka iss sher ko tod marod kar Iqbal Niyazi ki wakalat karne ka amal ghair adbi aur ghair muhazzab hai. Challiye unke iss amal se yeh to pata chal gaya ke yeh Iqbal(jis ne apni identity chhupaee) kaun hai...Shaikh, Sayyed, Khan ya phir...Niyazi?
Writer kitna bada aur moatabar hai, kya iss ka faisla karne ka haq bhi qari aur sirf qari ko naheen hai? Phir kyun yeh beja tareefon ke pul bandhne ka ganda khel khela ja raha hai?
Main bhi theatre ka aadmi hoon iss liye theatre ke ramooz se achhi tarah waqif hoon aur achhe bure ki tameez rakhta hoon.
Khudara adab ko iss gandi siyasat se paak rakhiye!
A Well Wisher Of Kitaab Ghar
Avatar A Well Wisher Of Kitaab Ghar
#18 - Quote - Permalink
10 of 11 people found this comment helpful
Posted 02:09:2006 - 16:08:32:

anis javed wrote:
Adilh achcha nahin laga.hc Shah ka remark kuch achcha nahin laga kyunke ho sakta hai ke woh stage dramon ki technique se waqif na hon.Iqbal Niyazi urdu theatre ka bada moatabar naam hai aur un ke sabhi drame zindagi se qareeb hote hain.sab theek hai ke sabhi drame pehle to stage drame hain doosre aam admi ke masayel ko pesh karte hain.
iqbal bada jan mohak hai man baaton se mohta hi nahin
stage pe chad ke jaane kaise sach hai woh keh deta hai
anis javed

Shayad yeh wohi Anees Javed hain jin ki kitaab,-Abhi Tou Raat Hai- online hai.Un ki qabilyat per afsos hua! Phate ko rafoo karne ke liye unhon ne bada bhonda, betuka aur bematlab sher gad-ha hai.
Drame ki technique aur content do alag cheez hain. Agar content achcha nahin to technique bematlab hai.Anis Javed ek writer hain aur woh aisi chaplusi se dur rahen tou un ki image ke liye behtar hai!
anis javed
Avatar anis javed
#19 - Quote - Permalink
0 of 11 people found this comment helpful
Posted 02:08:2006 - 22:18:26:

Adilh achcha nahin laga.hc Shah ka remark kuch achcha nahin laga kyunke ho sakta hai ke woh stage dramon ki technique se waqif na hon.Iqbal Niyazi urdu theatre ka bada moatabar naam hai aur un ke sabhi drame zindagi se qareeb hote hain.sab theek hai ke sabhi drame pehle to stage drame hain doosre aam admi ke masayel ko pesh karte hain.
iqbal bada jan mohak hai man baaton se mohta hi nahin
stage pe chad ke jaane kaise sach hai woh keh deta hai
anis javed
Adil shah
Avatar Adil shah
#20 - Quote - Permalink
10 of 11 people found this comment helpful
Posted 02:03:2006 - 16:19:19:

Sab drame padhe,Kuch Mazaa nahi aaya. Urdu taste ke drame nahi hai !!

Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.

Please login or register.