Details

Ishq Ka Sheen (Part-I)

Website
Visit Website
Description
Ishq Ka Sheen is another block buster novel by Aleem Ul Haq Haqqi and perhaps the most awaited novel of urdu language by social romantic reformal novels readers. Like Ishq ka Ain, this story is also written with the concept of journey of a person from Ishq-e-Majazi to Ishq-e-Haqiqi. The hero of last story of Ishq Ka Ain belonged to a muslim family with great love of ahl-e-bait. But hero of this story (Ishq Ka Sheen) is a non-muslim, Thakur Avtar Singh, who fall in love with a muslim girl on hearing her voice when she was reciting qur'ran. The ishq ka sheen is a very long story of love, passion, enthusiasm, determination and a journey from idol worship to finding the true path leading to Almighty Allah. We are sure, like Ishq Ka Ain, This story will also keep our readers entertained for many months to come
Rating
  • 90/5
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
4.5/5 based on 8 votes.
Ownership webmaster
Tags , , ,
Views 38254 views, 0 incoming clicks. Averaging 7 views and 0 incoming clicks per day.
Related Listings
Similar Listings
Ishq Ka Sheen (Part-II)
Ishq Ka Sheen-2
Ain Sheen Qaaf
Shehr-e-Tamanna (2nd Part)
Shehre Tamanna (1st Part)
Submission Date 07:18:2009 (Edited )

Comments on Ishq Ka Sheen (Part-I)

Rizwana Raja
Rizwana Raja
#41 - Quote - Permalink
Posted 07:23:2009 - 20:34:52:

I am big fan of Haqi and I loved this novel. Thank you so much Kitab ghar .
Asad Mehmood
Asad Mehmood
#42 - Quote - Permalink
Posted 07:22:2009 - 21:34:32:

Dear Kitab Ghar Fellows,
I wish i could do something for you to upload this lengthy novel, sab say say pehlay to may saqib sahab say guzarish karun ga k please is novel ko aik dafa phir pharain agar samjh na aye to dobara pharain. Lafzun ko skip na karain jesay normally novell phartay huay kia jata hay.

Meri umer 26 saal hay aur 20 saal pehlay mjhy kitab say dosti ki. Is novell jesa mukamal novell jo k meray jesa gunahgar Insanun ko Allah tala ki kurbat aur azmat ka eshas dilanay k sath sath hamari tareekh aur tareekh k kuch aisay kirdar jo shaid chupay reh gai un pay buhat achi roshni dalta hay. Musanig nay jis kirdar, jis cheez k baray may likha apni baat ko mantaq k sath justify kia. Is tarha k novell hamari aj ki nasal ki sab say bari zaroorat hain jo hum musalmanon ko apni mazhabi iqdar k under rehtay huay mohabat, nafrat, izat, aan ko nibahana sikhain.

Jesay 6th say lay k 9th tak schools may Shakespeare k plays English k course k sath pharain jatay hain meri khawish hay k yea novell bhi bachon ko parhaya jay kiun k yea novell insan ko mukhalif sinaf ya kisi super natural hero ki tareefain kar k un k baray may khayali dunya may rakhnay k bajay us ko sochnay, parkhnay aur tahqeeq ki tarf lay k jata hay. Allah tala Aleem sahab ko sehat day aur jazai khair day aur un ki is kawish ko kabool karay, Aleem sb k ilm kheti bari say lay k kainat k nizam tak mukamal hay aur yaqeenan unhun nay is novel ko likhnay k liye buhat mehnat ki hay. Umeed karta hun k buhat jald is ka dosra hisa bhi phar paun ga.

Hamza
Hamza
#43 - Quote - Permalink
Posted 07:22:2009 - 18:39:12:

salaam
jab ye novel market mein pehli dafa aya tha to sab logon ne ye aitraaz kiya tha k novel suru mein bht acha aur mukammil hai lekin aakihir mein ja k precise kiya gya hai.jab mein ne is novel ko pehli dafa parha tha to mein ne isko aik hi nishist mein khatam kiya tha...mera dil hi nhi kr raha tha k mein is kitaab k ilawa koi aur kam karun....lekin iske end tak aate aate mein kuch mayus ho gya tha....is silsley mein mein ne aur mere aik dost ne haqqi sb se mulakaat ki thi....unka ye kehna tha k wo novel k pehle hissay ko mazeed badhana chahte thay lekin bemaari ki waja se unho ne ise precise kr dia.....aur unhi ne humein bataya k is kitaab ka doosra hissa bhi wo ab khud nhi likh saken gay....novel k pehle hissay mein wo kai baaten chod gye thay aur ye sab unki bemaari ki waja se tha.....unho ne humein batay k wo doosre hissay k liye amjad sb ko sirf dictate karen gay aur novel k end k baare mein aik idea den gay....lekin wo khud aisa nhi kar sakte........agar aap is novel ka doosra hissa dekhen to wo hissa is hissay se adhe se bhi kam hai...haqqi sb ka kehna tha k ye project ishq ka ain..sheen...kaaf inki zindagi ka sab se bda project hai likhne k lihaaz se aur wo bht dukhi thay k wo is dream series ko pura nhi kr sakte bemaari ki waja se......aur doosra hissa jo amjad sb ne likha hai wo mujh ko incomplete sa lagta hai aur unho ne itni khoobsurat kahani ko jaldi jaldi khatam karne ki koshish ki hai jo k is kahani k saath nainsaafi hai.....mein doosre hissay k shaya hone aur parhne k bad dobara haqqi sb se milna chahta tha lekin mjhe mulk se bahr jana pda......ab yahan per kitaab ghar hi meri taskeen ka zarea hai.....aur is khoobsurat novel ko dobara padhne ka baad mein kitaab ghar kay tawasut se haqqi sb aur amjad se ye guzaarish karun ga k wo is novel ko review kr k isme kuch tabdeeli layen aur bht se pehlu jin ki wazahat ghaur talab hai unko wazeh karen aur braye mehrbani is silsley ka teesra novel ishq ka kaaf bhi tehreer karen....
thank you
Allah hafiz
wajeeh ul hassan awan
wajeeh ul hassan awan
#44 - Quote - Permalink
Posted 07:22:2009 - 11:08:37:

Asalam-0-Alikum
ma na abhi tak ya kitaab parhi nahi ha lakin ma ishq ka qaaf par chuka hoo aap ki amairii thori si help kara ga ka is ko download karna ka kia tareeqa hashaking head
ager reply ka lea aap muje mail karda too ya sab sa bahter hoo ga me email adress
wajeeh@y7mail.com
webmaster
Junior Member

Usergroup: admin
Joined: Nov 16, 2004

Total Listings: 591
Total Comments: 28
#45 - Quote - Permalink
Posted 07:21:2009 - 08:54:47:

Dear Sakib, aap ne khoob tajzia kia, lekin aadhi udhoori kahani pe tajzia karna na insafi hogi. Ishq ka Sheen ka yeh portion Aleem ul Haq Haqqi ne likha tha or phir woh bimar ho gaye, or is kahani ko complete nahi ker sakay. Is kahani ko aagay baRhaya Mr. Javed Amjad ne, or us doosre portion ko bhi jald he kitaab ghar pe pesh kia jaye ga. Hum ne kahani ke pahle safhay pe he ISHQ KA SHEEN (PAHLI KAHANI) likha tha takeh hamaray readers ko andaza ho jaye. Shukria.

sakib66666@yahoo.com wrote:
SAB SE PEHLE KITAABGHAR KA SHUKRIYA KAY USKI WAJAH SE YEH NOVEL PRHNAY KA MOQA MILLA, YEH NOVEL PARH KAR BUHAT SARAY POINTS ZEHAN MA ATAY HAIN PEHLA YEH KAY GAIR ZARORI TOR PAR LENGTHY HAY YEH SHORT BHI HOO SAKTA THA AUR PHIR JAB WRITER KO YEH FEEL HOWA USNY JALD BAZI MA WIND UP KARNAY KI KOSHSIH KI ISKA END PARH KAR YEH INDAZA BUHAT EASILY HOO SAKTA HA KAY WRITER ISKO WINDUP KARNAY KAY CHAKAR MA BUHAT SARI BATEIN CLEAR NAHI KAR SAKA, PEHLA YEH KAY NOVEL KAY HERO AVTAR SINGH K PEDA HONAY PAR WRITER NAY JIS TRAH SUSPENCE CREATE KIYA AUR USKA TALUQ KUCH KHAS LOGON SE ZAHIR KIYA AUR JIS TRAH USKI HIFAZAT KI JA RAHI THI USKI WAJAH SE AVTAR SINGH SE EXPECTATIONS BUHAT ZIYADA THI LAIKIN AISA KUCH NAHI HOWA UNSE BAS AKHIR PAR ISLAM QABOOL KIYA , NOVEL KAY START PAR MAJZOB BABA NAY PARTAP SINGH KO KAHA TUMHARA GAON TABAH HOO JAEY GA AUR PHIR ABAD HOO GA , GAON TABAH ZAROR HOWA LAIKIN USKE DOBARA ABAD HONE KA ZIKAR NAHI, PNADIT NAY KAHA K AVTAR SINGH KO 2 BAR MUHABAT HOO GI LAIKIN USKI SIRF AIK MUHABAT KA ZIKAR HAY JO NOOR BANO KI AWAZ SUN KAR USKE SATH HOWI, AVTAR SINGH MUSLIM MAA NAY USSE KAHA KAY USKE PASS KUCH AMNAT HAY AUR JAB TAK WOH USKO AVTAR SINGH KO NAY DAY GI WOH ZINDA RAHAY GI LIAKIN AVTAR SINGH DOBARA GAON GIYA HI NAHI WRITER ISKI WAJAH EXPLAIN NAHI KAR SAKA , PHIR ARJUN JO AVTAR SINGH KA JAIPUR WALA FREIND THA WRITER NAY USKAY LIYA BHI SUSPENCE CREATE KIYA LAIKIN ISKIO BHI SOLVE NAHI KIYA SHAYED BHOOL GIYA HOO GA. JAB RAMGOPAL AVTAR SINGH K GHAR AYA TU USNE AIK BAR BHI NAHI POCHA K AVTAR SINGH KAHAN HAY JABKAY WOH GHAR KO LOTNAY AYA HI AVTAR SINGH KI DUSHMANI KI WAJAH SE THA.

AB IS NOVEL MA KUCH BATEIN POSSITIVE BHI HAIN JAISA KAY IS NOVEL KA TIME PERIOD 1947 PARTITION KAY KAREEB RAKHA GIYA AUR JO HINDUS KI PSYCHY BATAI GI HAY WOH BILKUL CORRECT HAY HINDU APNE ILAWA KISI AUR KO BARDASHT NAHI KAR SAKTA WRITER NAY BILKUL SAHI LIKHA HINDUS KAY BARAY MAIN,

sakib66666@yahoo.com
sakib66666@yahoo.com
#46 - Quote - Permalink
Posted 07:20:2009 - 21:44:12:

Shafqat
Shafqat
#47 - Quote - Permalink
Ishq ka sheen
Posted 07:20:2009 - 15:11:09:

it is not complete Novle, please upload complete ishq ka Sheen
manoj
manoj
#48 - Quote - Permalink
Posted 07:20:2009 - 11:19:14:

ye kitaab kisi kaam ki nai ha sirf time west hota hai

Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.

Please login or register.