Details
Mazeed Awargi
Website | ||||||
Description | Mazeed Awargi is an interesting and informative Travelogue (Safer Namay) of Japan by Jawed Danish, a very famous dramatist of India and Canada, who wrote many original dramas and also translated dramas of other languages into urdu and hindi. One can learn all about Japan including their culture, literature, history, life style, technology, poetry, language and much more by this travelogue. Jawaid Danish sure knows how to take his readers with him in the expedition of new territories. |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | webmaster | |||||
Views | 8942 views, 1 incoming clicks. Averaging 1 view and 0 incoming clicks per day. | |||||
Incoming Clicks | 1 | |||||
Related Listings | ||||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 03:23:2007 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on Mazeed Awargi
Posted 04:07:2010 - 20:47:49:
Dear Jawaid Dnashi sb,
Book parkay hoi aaisa laga jaisay kay koiee tourist hamaray saath ho aor hamay mohtalif jagho kee sair kara raha ho aor guide karraha ho, khair, such a great book.
Regards,
Kabir
buhat hi achi kitab hai parh kay maza aagaya khas tor per danish sahib kay style ka buhat hi acha likha hai
buhat hi achi kitab thi parh kay maza agaya khas tor per danish sahib ka andaze byan buhat hi acha hai book start hotay hi pata chal gaya kay aap nay buhat acha likha hoga aur sari book read ki hai thanks
yeh kitaab perh kay waqi asey laga jeisay mein ibn-e-insha ka safar nama perh raha hoon orr yeh site bohat he acchi lagi jahan acahi acahi kutb perhnein ko milay ge
SUKHVINDER SHADAAN Saheb (Pa-ji) Aapki Mohabbat Aur Houslaafzayee Ka Shukriya. Jawaan doston ke emails aur comments to bohat aate hain mere naam, Magar Apke Comments Ki Main Bohat Dil Ki Gharaiyon Se Qadar Karta Hun, Aapne Duniya Dekhi Hai, Apka Tajurba bohat hai, aapki dua chahiye Huzoor, Danishnawaawi ke liye ekbaar phir Shukria.
Danish ji, main apka 70 sala Fan Hun, Apke drame to main doston ko sunata hun, ke dekho Hamari kahani hai, aaj apka Safarnama dekha,
Yaar Kamaal Hai, Malik Ne Tujhe Bara Nawaaza Hai, Khush Rah Bachhe,
Aaj main Ne sachmuch Japan Ki Yatra Karli, Jald Tumhen Contact Karonga Ga. Dhersari Badhayee Aur Ashirwaad.... Rab Raakha !
"Mazeed Awaargi " Ke Muta-ale Ke baad yeh Natija Akhaz Kiya Jasakta Hai Ke Jawaid Danish Ki Zahanat, Adabi Salahiyat, Zauq e Tabiyat, Justujoo aur Shauq Ka Na Khatam Honewala Jazba, Aik Shair Ki Husn Parasti Ka Muzahirah Har Jagha Ujagar Hai. Tarasheeda Asloob Main Airport, Parks Aur Degar Maqamaat Ki Hasinaaon Ka Zikr Bhi Bare Dilkash Andaaz Main KIya Gaya Hai- Safarnamaa Parhte Waqt Aisa Ehsaas Hota Hai Ke Koi Guide Hamare Saath Moujood Hai, Aur Qaari Apni Aabkhon Se Inn Tamaam Cheezon Ko Dekh Raha Ho. Yeh Safarnamaa, Shairanaa Husn e Bayaan Ka Mazhar Hai Aur Shaguftaa Bayaani Ka Aainaa. Dekhna Yeh Hai, Jawaid Danish MUKARRAR AWAARGI Ke Liye Kis Shahr Ka Intikhaab karte Hain.
I am thrilled, kiya andaaz hai, kiya bayaan hai, Niloufer saheba ki tarha, main bhi Japan Ki Galiyon aur Galyaron Main, Mandiron Aur Saraye Khanon main Danish ji ke saath bhatakti rahi, balke aisa laga, woh meri Ungli Thaame, Japan Ke Mele Ki Sair Kara Rahe Hon.
I would love to have a hard copy of this great safarnama, and recomend any urdu lover to read it......
Javed Danish Ne Mahaz Aik Tamashbeen Ki Haisiyat Se Jahan Gardi Ko Apna Sha-aar Nahi Banayaa, Balke Unka Safar Unhain Jahat Dar Jahat Har Darwaaze Par Dastak De Kar Apni Baazgasht Sunne Ki Mussarrat Wa Baaseerat Ataa Karta Hai, Jiska Ja Baja Izhaar MAZEED AWAARGI Ke Safhaat Ki Zeenat Hai.
Mazeed Awaargi Haliya Barson Main Shayaa honewaali Aik Aham Kitaab Hai, Issko Safarnaame Ke Baab Main Ek Aazaafa Tassawwar Kiya Jasakta Hai. Iss Khoobsurat Kitaab Par Javed Danish Ko Mubarakbaad.
Thanks a lot...Kitaab Ghar, Is it a coincidence, or you really read my request day before yesterday, for MAZEED AWAARGI, What a treat...
I am simply hooked to the diction and style of Mr. Danish, he is great, I have no words to express my feeling, I find it more balanced, better and brighter, I felt I was going through the lanes
and plains and bazaars of Tokyo, superb discription, marvellous style.
keep sharing.