Details
KahaniaN JanwaroN Ki
Website | ||||||
Description | This book contains collection of very short stories teaching different morals for childrens and kids by Aftab Hasnain. He is well known, seasoned, Indian drama and story writer. He has produced many books of stories, dramas and even TV Plays. This book contains following stories: Lalchi GeedeR (Greedy Jackal), GhumanDi GainDa (Proud Rhino), Kahil Sher (Lazy Lion), Chor Bander (Thief Monkey), Zalim Cheel (Cruel Kite), Bayiman LomaRi (fouling fox), maghroor cheunti (proud ant), buri adat (bad habit), battakh or murghiaN (duck and hens) |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | webmaster | |||||
Views | 71887 views, 6 incoming clicks. Averaging 10 views and 0 incoming clicks per day. | |||||
Incoming Clicks | 6 | |||||
Related Listings | ||||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 01:25:2006 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on KahaniaN JanwaroN Ki
Kahanian, qisse aur aslaf ke waqiyat kisi bhi bachche ki zindagi mein ek azeem inquilab la sakte hain. Afsos ke TV ne bachchon ko hikmat ki aisi azeemushshan baton se dur kar diya hai. Aise halaat mein Aftab Hasnain jaise qalamkar bachchon ke liye kahaniyan likh kar in ke liye samaj ki khatarnak buraiyon se bachne ka samaan muhaiya karte hain.
Jaawaron ki madad se intehai dichasp aur sabaq aamoz kahanian likh kar Aftab Hasnain ne bachchon ko insani samaj ki chand buraiyon se bachne ki talqeen farmaee hai jis ke liye woh yaqeeni taur par mubarakbaad ke mustahaq hain!
aftab hasnain apni tareef karte huey kuchch achche nahin lage.unhon ne kya aur kaisa likha hai is ka faisla to qari ka hota hai aur yeh sirf aur sirf qari ka haq hai
-IQBAL- BADA UPDESHAK HAI, MAN BATON MEIN MOH LETA HAI
GUFTAR KA GHAZI BAN TOU GAYA, KIRDAR KA GHAZI BAN NA SAKA
aftab hasnain apni tareef karte huey kuchch achche nahin lage.unhon ne kya aur kaisa likha hai is ka faisla to qari ka hota hai aur yeh sirf aur sirf qari ka haq hai
Kahanian Janwaron Ki Agar Janwar Bhi Padh lein tou Insaan ban jayen !
After going through the titles of the stories I thought it will be either translation or adaptation of stories of -Panchtantra- or -Kalila wa Damna- but after going through the stories I realised that its original Urdu stories for which I heartily congratulate the author Aftab Hasnain. Its a worthy contribution to Urdu literature!
Thanks to Kitaab Ghar and Kudos to Aftab Hasnain, Writer of JaanwaroN ki KahaaniyaN. Both have done great EHSAAN on kids of MILLAT. JazakAllaah!
Maine Eesope-s ki taqreeban saari fables(JANWARON KI KAHANIYAN)jis kay zariye Insanon ko sahi rasta dikhane ki koshish ki gayee hai, padhi hain. Lekin Janab Aftab Hasnain ki kahaniyan jo khhas taur se bachchon ke naam waqf ki ja rahi hain, un fables se zyaada dilchasp aur asar andaz hain, na ke sirf bachchon ko balke baalighon ko bhi usse sabaq seekhane ka mauqa haasil karna chaahiya. MUJHE FAKHHRA HAI KE MAIN ISS AZEEM DRAMANAWEES AUR KAHAANIKAR KO QAREEB SE JAANATA HOON. MERI AUR MERI POOORI FAMILY KI TARAF SE HAZAARHA MUBAARAKBAAD. Allaah kare ZORE QALAM AUR ZYAADA
Kehte hain-bachchon ka adab likhna bachchon ka khel nahin- lekin -KahaniaN JanwaroN Ki- padhne ke baad laga ki Aftab Hasnain ke liye yeh -ba-ein haath ka khel hai.-Ek se badh kar ek kahanian hain!
Itela-an arz hai ki main lefty hoon! Ba-ein haath se likhta hoon lekin bachchon ka adab likhne ke liye mere paas -hazaar haath- bhi hote tou kam padte!
Aftab Hasnain urdu adab ka ek bada naam hai.Un ke dramon ki kitaab ko to padhne ka mauqa mila tha lekin kitaabghar mein unki kahanion ko padh kar ek khushgawar tajruba hua aur yeh ahsas hua ke woh jahan drama likhte huye bade ban jate hain wahin kahaniyan likhte huye bachchon mein shamil ho jate hain.kitaabghar ko mubarakbad ke us ne ek behtreen kitaab ko padhne ka mauqa faraham kiya.
Kehte hain-bachchon ka adab likhna bachchon ka khel nahin- lekin -KahaniaN JanwaroN Ki- padhne ke baad laga ki Aftab Hasnain ke liye yeh -ba-ein haath ka khel hai.-Ek se badh kar ek kahanian hain!