Details
KahaniaN JanwaroN Ki
Website | ||||||
Description | This book contains collection of very short stories teaching different morals for childrens and kids by Aftab Hasnain. He is well known, seasoned, Indian drama and story writer. He has produced many books of stories, dramas and even TV Plays. This book contains following stories: Lalchi GeedeR (Greedy Jackal), GhumanDi GainDa (Proud Rhino), Kahil Sher (Lazy Lion), Chor Bander (Thief Monkey), Zalim Cheel (Cruel Kite), Bayiman LomaRi (fouling fox), maghroor cheunti (proud ant), buri adat (bad habit), battakh or murghiaN (duck and hens) |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | webmaster | |||||
Views | 71617 views, 6 incoming clicks. Averaging 10 views and 0 incoming clicks per day. | |||||
Incoming Clicks | 6 | |||||
Related Listings | ||||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 01:25:2006 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on KahaniaN JanwaroN Ki
kaash loh kahnE ko kehna aur keh ko ki likhna chhoR den. Urdu ko Urdu mein sochen. agar Hindi hi mein baat karna hai tO yahaan aap ki zaroorat naheen. Urdu ko sarkari atiyaat isi liye diye jaate hai ke isko jald se jald kistarah maara jaey. ummeed hai, sirf ummeed hi kej iS rae ko mudeer(editor) sahab aetedaali (moderation) ke naam par poori hi ghaeb kardenge. agar yeh rae shaey ho gaee tO mujhe ummeed hai keh Urdu ko bol-bala hoga.waise maine kisi ke khilaaf tO kaha naheen hai lekin phir bhi fiza tO -subse baRa rupaiyya ki hi hai-!
Kaash keh Mohtarma, ma-afi chahta hoon Prof Mrs Shaikh ko yeh kitaben paRhkar na keh padh kar(Urdu mein R se qareeb tareen hurf r ha naa ke D)achchha laga hota. May I request all Urdu wala to change their thinking to Urdu from Hindi. Why not to convert to English either.
Janaab Hasnain Sahab! Assalamu alaikum,
bahot log aise honge jo sochte hain keh Aftaab Hsnain daqyanoosi hain kyunkeh woh Urdu jaante hain. kya hi achchha ho keh yeh log yeh baat jaan len keh Urdu ke ba-aS hi yeh log wahan hain jahan hain. hum sub ki tarah Angrezi nawaz tO ho liye lekin phir Musalmaan na rahe. kya koi aisi cheez hai jis achchhaee ko musalmanon se mansoob kiya jata ho! agar Urdu ko log karte hain, tO hum khud ussE door bhaag rahe hain. kya hum iS haqeeqat ko tasleem na karen keh Urdu hamari hai aur yeh keh koi ghair chahe tO uska isteqbaal hai. kya hum amlan aisa kar-sakte hain.? Jawaab HAAAN hai, aapko Allah iska ajr dega.
mujhe aona bachpan yaad aata hai jub hum ek chhotE se kutub khane se kitaaben laakar paRhte thE jismein kaddoo mein baith kar buRhiya safar karti thee. kya woh 20 saal purani kitaben hamari paas hain? yeh sawaal unse hai jo Angrezi adab ki tareekh, jughrafiyaa, aur jane kya kya paRhte hain lekin inko 20 saal purani baat firsoodah lagti hai. Aap ki kitaben Maharashtra mein kayah kahan dastiyab hai baaten. wa-assalaam naqqaad@yahoo.com
I am not a kid. But I have a kid, son of 8 years. I liked all the stories by Aftaab Husnain. I read it to my son and Husband too. They are really nice.
Shukran kitaabghar n the writer.
Bachhon ke liye aasaan zabaan mein dilchasp aur sabaq aamoz kahanian hain! Her kahani bachhon ko samaji aqdar se rushanas karati hai.Aisi kahaniyan waqt ki zaroorat hain. Kitaab Ghar aur Aftab Hasnain ka bachchon ke adab ko yeh beshqeemti tohfa dene ke liye shukriya!
Very interesting stories. I loved grading it. I loved reading it, the preface Kahani, kahani Chacha ki is exellent. Kitaabghar is doing an brilliant job! May Allah help you in your this humble cause.
Allah hafiz.
JAANWAR YANE KE JISKAY ANDAR JAAN HO. AGAR LAFZI MA~ANI KAY HISAAB SE NATEEJA AKHHAZ KAREIN TOU AADAMI BHI JAANWAR HI HUA MAGAR SABSE ASHRAF. ASHRAFULMAKHHLOOQAAT KA DARJA AADMI KO YOON HI NAHEEN MIL GAYA. GEEDAR LAALCHI HOTA HAI. LOMARI CHAALAK HOTI HAI. GAINDA GHAMANDI HOTA HAI. SHER KAAHIL HOTA HAI...... WAGHAIRAH. MIYAN INSAAN MEIN YEH SAARI KHHOOBIYAN(BURAAIYAAN) EIK SAATH PAYEE JAATI HAIN WOH BHI BACHAPAN SE. MAGAR BACHAPAN MEIN YEH CHEEZEIN KAAGHAZ PAR BB PENCIL SE KHEENCHI GAYEE AADI TEDHI LAKEERON KI MAANIND HOTI HAIN JO ERASER KI EIK HALKI SI RAGAD SE SAAF HO SAKTEE HAIN.
AFTAAB HASNAIN NE AADAMI KAY BACHCHON MEIN BURAAYEE KI UNN MUBAHIM LAKEERON KO MITAANE KI EIK KAAMYAAB AUR QAABIL-E-TA~AREEF KOSHISH KI HAI. INN KAHAANIYON KO PADH KAR BACHCHE SABAQ TOU SEEKHEINGE HI APNI ZABAAN AUR PHIR TAHZEEB BHI ISI BAHAANE SEEKH JAAYEINGE. ISLIYE AFTAB HASNAIN DOHRI MUBAARAKBAAD KAY MUSTAHIQ HAIN. BACHCHON KAY LIYE KHHOOB LIKHIYE MIYAN AUR IMAANDARI SE LIKHIYE MAGAR ALLAHUMMA LAB-BA-YAK BHI GAHE-BA-GAHE LIKHATE RAHIYE.
An excellent matured work by a matured writer. His unique way of telling apni baat or writer-s preface of the book through a character of -Kahani Chacha- is laudable! Congratulations to -Kitaab Ghar- and the writer Aftab Hasnain!
I think Aftab Hasnain has worked alot on this book indeed a very very excellent work for a urdu book Mashallah please keep writing books like this and encourge children readers !!
apne hum asaron ke saath chapkalish to hamesha se chalti rahi hai lekin
aftab hasnain achche writer hain aur insha allah rahenge yeh yaqeen hai.
anis javed