Details
KahaniaN JanwaroN Ki
Website | ||||||
Description | This book contains collection of very short stories teaching different morals for childrens and kids by Aftab Hasnain. He is well known, seasoned, Indian drama and story writer. He has produced many books of stories, dramas and even TV Plays. This book contains following stories: Lalchi GeedeR (Greedy Jackal), GhumanDi GainDa (Proud Rhino), Kahil Sher (Lazy Lion), Chor Bander (Thief Monkey), Zalim Cheel (Cruel Kite), Bayiman LomaRi (fouling fox), maghroor cheunti (proud ant), buri adat (bad habit), battakh or murghiaN (duck and hens) |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | webmaster | |||||
Views | 71623 views, 6 incoming clicks. Averaging 10 views and 0 incoming clicks per day. | |||||
Incoming Clicks | 6 | |||||
Related Listings | ||||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 01:25:2006 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on KahaniaN JanwaroN Ki
Abu Asif sahab ka mamnoon hoon! Unhon ne bade hi adbi dhang se mere comment ki wazahat kar di!
Rahi chaploosi ki baat tou mera aur Aftab Hasnain ka rishta ek adeeb aur qari ka hai iss liye chaploosi ka sawal hi kahan hai?Achche adeeb ki achchi takhleeq ki tareef karna agar chaploosi hai tou adab ke liye mujhe yeh ilzaam bhi gawara hai.Kahanian Janwaron ki sabhi kahaniyan mea-ri hain aur un ka taana baana Aftab Hasnain ne itne khoobsurat andaz mein buna hai keh imaandari se comment karnewala her qari tareef hi karega. Ab agar yeh mukhlis tareef chaploosi hai tou main hi kyoon sabhi comment karne walon ko chaploos kahna chahiye!
Samajh mein naheen aata ke iss tareef se kuchh logon ke pet mein dard kyoon ho raha hai? Yeh log hain kaun jo apna naam chhupa kar peechhe se waar kar rahe hain.Aise log adabke dushman hain!
Sare comments eksuee se padhe tou pata chala keh comments mein kisi ek ka comment aisa bhi hai jis mein hum asron ki chapkalish ki baat kahi gayee hai aur iss kisi ko kisi aur kitaab ke comment mein kisi ne mukhlisana mashwara diya hai keh woh -chaploosi- se dur rahen tou un ki image ke liya behtar hai!Kaheen yeh wohi log tou naheen.....?
Aftab Hasnain sahab, dushmano se hi naheen -chaploos-doston se bhi mohtat rahiye! Waise Kitaab Ghar ke sabhi khair khwahon ki nek tamannayein aap ke saath hain ! Hum aap ki agli kitab ka intezar kar rahe hain!
Naam mein sab kuchh rakha hai kyun ke naam se aap ka -nutfa- aur -hasab-nasab- pata chalta hai aur agar aap aisa nahin samajhtey tou aap ka naam -ABU LAHAB- ya -ABU JAHAL- ho sakta hai !
Sayed Abbas sahib ke qaul se maiN poora ittefaaque rakhta hooN. Magar mera khhayaal se nutfe aur hasab-nasab tak tou theek tha, yeh ABU LAHAB aur ABU JAHAL kuchh theek naheiN laga.
Allaahu aalam bissawaab.
sayyed abbas shyad kahaniyan janwaron ki padhkar ab tak insaan ban gaye honge. tabsara karna urdu hi nahin har zaban ke logon ka haque
hai lekin tabsara agar chaploosi ban jaye to ye adab ka nuqsan hai.
un ka tabsara yeh hai ke janwar bhi padhen to insaan ban jayen.
kya yeh qareeb az haqeeqat hai?
Bade afsos ki baat hai ke tabsare ne ghalat raahravi ikhtiyaar kar li hai. Beemar zahen waale loug adabi tabsaron mein hissa naN leiN tou behtar hai. Jin logouN ki samajh meiN muhaavire ya kahaawateiN nahiN aateiN unheiN mutaalye ki sakht zaroorat hai. Mera mashwira hai ke pahle woh loug achchhi achchhi adabi kitabeiN parheiN phir iss maidan meiN kapde pahen kar koodeiN. Aur yeh bhi yaad rakkheiN ke naam mein hi sabhkuchh hai.
Allaah Tabaarak wa Ta-ala ham sab ko aqle saleem ata kare. Aameen....
sayyed abbas shyad kahaniyan janwaron ki padhkar ab tak insaan ban gaye honge. tabsara karna urdu hi nahin har zaban ke logon ka haque
hai lekin tabsara agar chaploosi ban jaye to ye adab ka nuqsan hai.
un ka tabsara yeh hai ke janwar bhi padhen to insaan ban jayen.
kya yeh qareeb az haqeeqat hai?
Naam mein sab kuchh rakha hai kyun ke naam se aap ka -nutfa- aur -hasab-nasab- pata chalta hai aur agar aap aisa nahin samajhtey tou aap ka naam -ABU LAHAB- ya -ABU JAHAL- ho sakta hai !
Sayyed Abbas ka comment,-KahaniyaN JanwaroN Ki agar janwar bhi padh lein to Insaan ban jayen-, mere khayal mein best aur intelligent comment hai! Yeh alag baat hai ke oonche level ki baat sirf -insaan- hi samajh aur appreciate kar sakte hain!
sayyed abbas shyad kahaniyan janwaron ki padhkar ab tak insaan ban gaye honge. tabsara karna urdu hi nahin har zaban ke logon ka haque
hai lekin tabsara agar chaploosi ban jaye to ye adab ka nuqsan hai.
un ka tabsara yeh hai ke janwar bhi padhen to insaan ban jayen.
kya yeh qareeb az haqeeqat hai?
Bachchon ki kahaniyon mein aksar Nani ya Dadi amma hoti hain jo bachchon ko nasihatein karti hain.Aftab Hasnain ne ek naya kirdar ijaad kiya hai,-KAHANI CHACHA-. Unhon ne apne pesh lafz mein -Kahani Chacha- ke zariye bachchon ko ek kamyab amli zindagi ki bahot hi achchi achchi batein bataee hain !
Aftab Hasnain ka yeh farzi kirdar -Kahani Chacha- mere zahan mein naqsh kar gaya hai.Main aisa mahsoos karne lagi hoon ke -Kahani Chacha- har waqt mere aas paas hotey hain jo mujhe buraiyon se bacha kar achchaee ki taraf raghib kartey hain.
Aadami apne baapdaadon ki ghalatkaariyon se sabaq leikar bhi naheen sudharta haalaanke usse apne baapdaadon ki ghalatiyon ka khhamyaazah bhi bhugatana padta hai. Allaah Tabaarak o Taala Aftab Hasnain Sahib ki iss jaayez koshish ko kaamyab banaaye. Aameen ...... summaameen! MaashaAllaah har kahani mein sabaqaamoz dilchaspi barqaraar raheti hai jo eik kaamyaab Musannif ki sabse badi pehchaan hoti hai.
Kaash keh Mohtarma, ma-afi chahta hoon Prof Mrs Shaikh ko yeh kitaben paRhkar na keh padh kar(Urdu mein R se qareeb tareen hurf r ha naa ke D)achchha laga hota. May I request all Urdu wala to change their thinking to Urdu from Hindi. Why not to convert to English either.
Andha pad-he, bahra sune!-Kitaab Ghar-s space is precious and valuable. With due respect to Mr. Naqqad I would like to say that if Mr. Naqqad will go through all his comments, even he will not understand what he want to say. We are writing Urdu in English script and hence the spellings are as per the pronunciation of the word and it matters little as long as we can read and understand the content. Mr. Naqqad, what about so many spelling mistakes which you have made? I think here the comments should only be for the related book and it should be short, healthy, interesting and ofcourse frank. Then only the charm of reading these comments will maintain. Will -Kitaab Ghar- take notice of this!
Allah kare Azeem Malik jaisi makhlooq ki nafri aur baRhe. mera dil baagh baagh ho gaya. Allah Aftab Hasnain ka chaman aabaad rak-khe