Details
KahaniaN JanwaroN Ki
Website | ||||||
Description | This book contains collection of very short stories teaching different morals for childrens and kids by Aftab Hasnain. He is well known, seasoned, Indian drama and story writer. He has produced many books of stories, dramas and even TV Plays. This book contains following stories: Lalchi GeedeR (Greedy Jackal), GhumanDi GainDa (Proud Rhino), Kahil Sher (Lazy Lion), Chor Bander (Thief Monkey), Zalim Cheel (Cruel Kite), Bayiman LomaRi (fouling fox), maghroor cheunti (proud ant), buri adat (bad habit), battakh or murghiaN (duck and hens) |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | webmaster | |||||
Views | 71635 views, 6 incoming clicks. Averaging 10 views and 0 incoming clicks per day. | |||||
Incoming Clicks | 6 | |||||
Related Listings | ||||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 01:25:2006 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on KahaniaN JanwaroN Ki
"KITAAB GHAR KO PUR KHULUS MUBARAKBAD JIS KE TAWAS-SUT SE ALTAF HASNAIN KI SHAANDAR KITAB PARNE KA MUQA MULA."
Kya Muneer Sahab! Jis Musannif ki kahaaniyoN ki ta-areef kar rahe haiN aap uska naam Aftab Hasnain hai na ke Altaf Hasnain. Aapki sidqe dil se dee huee Mubaarakbaad Aftab Hasnain tak pahuNchi hi naheeN. KHudara eik baar phir se. JazaakAllaah.
Allaah Allaah kya baat hai? Masha-Allaah Aftab Hasnain Sahab ki sab kahaaniyaaN achchhi haiN aur bachchoN hi naheeN balke baroN kay zehan par bhi asar andaaz hoti haiN. GustaakHi ma-af! KaheiN kaheiN zyaadati ho gayee hai. JaanwaroN ko kuchh zyaadah hi gaarhe BLACK SHADE meiN pesh kiya gaya hai. Mere kHayaal se eik jaanwar meiN eik hi grey/black shade hota hai magar eik aadami mein tou woh saare shades yakja paaye jaate haiN. Aftab Sahab kuchh insani kirdaar lekar bhi kahaaniyaaN likheiN bachchoN kay liye tou bahut behtar hoga. Keep it up Kitaab Ghar n Aftab Hasnain.
MaiN eik 89 saal ka bachcha hooN. Kam-az-kam do ghante net surfing aur net reading mere ma-amool meiN shaamil hai. MaiN ne kisi zamaane mein kuchh kahaaniyaaN likhi theiN bachchoN kay liye. Kitaab ghar kay baare meiN kisi dost ne bataaya ke wahaaN kahaaniyaaN online chhap jaayeiNgi. Kitaab ghar pahuNcha tou Aftab Sahab ki kahaaniyaaN parheiN aur parhata hi chala gaya. Offline aate hi apni sari kahaaniyaan reza reza karke dust bin mein daal deiN. Kitaab ghar aur Aftab sahab ko bahut bahut mubaarak ho. Kitaab ghar ko Aftaab sahab ka mamnoon o mashkoor hona chaahiye jo ke unhoN ne apni kahaaniyaN site ko waqf keiN. Musalman bachchoN par hi naheen balke mujh jaise boorhe gumraahoN par bhi Aftab Hasnain ne kitaab ghar kay tawassut se ehsaan-e-azeem kiya hai.Allaah kare zore qalam aur zyaadah.
Half century of comments! Its an honour for me and for which I heartly thanks all my readers and specially those who have given their precious time to post comment.
Appreciation and criticism both are solid source of morale boosting for me !
Thanks and thanks a lot, readers and ofcourse -Kitaab Ghar!-
KITAAB GHAR KO PUR KHULUS MUBARAKBAD JIS KE TAWAS-SUT SE ALTAF HASNAIN KI SHAANDAR KITAB PARNE KA MUQA MULA. BACCHON KE BAARE MAIN MEYARI KITABON KI BAHOT KAMI HAI. ISLIYE ALTAF SB KO KHUSUSI MUBARAKBAD.
49 comments on this book! I hope I will be lucky enough to be the 50th one to comment!
-KahaniyaN JanwaroN Ki- per sab se zyada comments ki wajah yeh ho sakti hai keh bachchon ki kahaniyan bachche, jawan, budhe sabhi shouq se padhtey hain.Iss ka yeh hargiz matlab naheen keh main writer ki credit kum karna chahta hoon. Beshaque iss ka credit Aftab Hasnain ko jata hai jinhon ne apni tahreer ke zariye qari ko har kahani mein aakhir tak bandhe rakha hai. Unka -Kahani Chacha- ke kirdar ke zariye apni baat kehne ka nirala andaaz bhi pasand aaya balkeh yeh padhne ke baad hi dil chaha keh kitaab aage padhi jaaye.
Bravo Aftab Hasnain. All credit is yours and only yours and heartiest congratulations for this achievement of GOLDEN JUBILEE of comments and I am sure you will definitely achieve CENTURY of comments!
Kahaniyan Padhne ke baad comment karna chahta hoon lekin comment ke liye kuchh bacha hi naheen hai. Sab kuchh tou logon ne keh diya hai iss liye main Kitaab Ghar ke muntazmeen se ek darkhwast karoonga keh woh Aaftab Hasnain ki doosri kitabein bhi online karein ta keh hum achche writer ki achchi takhleeq se faizyab ho sakein.
ye kitab bachchon aur baron ke liya dilchasp kitab hai is kitab ko parne se na sirf naseehat hasil hogi balke urdu reading bhi behtareen ho gi khas kar bachchon ke liye ye kitab intehai mufeed hai
thank you
Zindagi bhar dars wa tadrees ke peshe se wabasta raha hoon aur kaee zabanon ka bachon ka adab parha hai. Kahaniyan Jaanwaron Ki parhne ke baad main sari duniya ki zabanon ko bade etemaad ke sath challege karta hoon keh hamari Urdu zabaan sa bachchon ka adab kisi zabaan mein naheen hai.
EK SAY BADKAR EK KAHANIE.THE MIND AND SPIRIT CAN BREAK FREE TO CREATE IN THE MOST AMAZING WAYS IS KAHANIAN JANWARON KI