Details

Abhi tou raat hay

Website
Visit Website
Description
This book contains collection of single act stage dramas by Anees Javed. He is a very famous and honoured indian drama writer, director, scene and dialogue writer. He and his work won many literary medals and awards including best drama, best drama writing and best director. Follwing Dramas are included in this book:

Sumander khamosh hay, mein aatank wadi hooN, dunia pagal hay, do gaz zameen, abhi tou raat hay.
Rating
  • 65.8/5
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
3.29/5 based on 17 votes.
Ownership webmaster
Views 25217 views, 1 incoming clicks. Averaging 4 views and 0 incoming clicks per day.
Incoming Clicks 1
Related Listings
Similar Listings
Sab Theek Hay
Pahar mujhe bulata hay
Mosam Gul heran khaRa hay
Chahat Ka Hay Safar
Naddi
Submission Date 02:07:2006

Comments on Abhi tou raat hay

usman malik
usman malik
#11 - Quote - Permalink
Posted 08:27:2006 - 02:01:45:

yeh Najma qureshi aur theatre goer na jane kis zahiniyat ke log hain ke unhe har writer ki tasneef mein siwaye keedon ke aur kuch nazar hi nahin aata. main ne in dono ke comments kayee kitabon ke liye dekhe,lagta hai ke agar kisi ne tareefi kalmaat likh diye to ye use radd karna apna paidayishi haque samajhte hai.
theatre gore saheb! LAGTA HAI AAP NE ANIS JAVED KO NEECHA DIKHANE KA KOI THEKA LE LIYA HAI IS LIYE COMMENT PAR COMMENT KE LIYE TAYYAR BAITHE HUE HAIN. KHAIR agar hoon vallabh nathi gujrati drama hai aur wo 75 mein stage hua hai to main ye keh sakta apni baat ko manwane ke liye ke hoon vallabh nathi sanskrit mei 1875 mein hue ek drame chakra ka gujrati roop hai. mere paas koi saboot nahin. kya aap saboot pesh kar sakte hain? yeh sirf urdu kitaabghar ki maqbooliyat aur is mein pesh hone wali urdu takhleeqat ko sabootaaz karne ki ek sehooni saazish lagti hai,,,insha allah ye saazish nakam ho kar rahegi.

A Theatre Goer
A Theatre Goer
#12 - Quote - Permalink
Posted 08:26:2006 - 02:48:06:

Anis Javed Sahab aap itna baukhla kyun gaye? Aap ki baukhlahat aap ke jhoot ka parda faash kar rahi hai jabhi tou ghair me-ari batein kar rahe hain jo ek suljhe hue -Urdu- adeeb ke shayane shaan nahin! -Hoon Vallabh Nathi-Pravin Solaki ka likha hai aur 1973-74 mein perform hua aur jo baad mein 1975-76 mein Inter Bank Competition mein Central Bank ne "Main Gopal Nahin- ke naam se pesh kiya aur uss ko awwal inaam mila! Chahein tou apni tasalli ke liye Inter Bank Competition ke records mein tasdeeq kar sakte hain aur scipt bhi parh sakte hain.Aur Kuchh?
Doosri baat Kitaab Ghar hum qar-ein ka hai aur uss ke liye hamare dil mein ehteram aur unsiyat hai!
usman malik
usman malik
#13 - Quote - Permalink
Posted 08:24:2006 - 21:42:56:

yeh Najma qureshi aur theatre goer na jane kis zahiniyat ke log hain ke unhe har writer ki tasneef mein siwaye keedon ke aur kuch nazar hi nahin aata. main ne in dono ke comments kayee kitabon ke liye dekhe,lagta hai ke agar kisi ne tareefi kalmaat likh diye to ye use radd karna apna paidayishi haque samajhte hai.


anis javed
anis javed
#14 - Quote - Permalink
Posted 08:22:2006 - 00:55:25:

adnan!
mujhe bahut afsos hai ke main ne tumhari comment baad mein padhi aur khudsakhta theatre goer jis ka shayad amli wajood hi na ho ki comment pehle padh li aur us par izhar-e-e khyal kar baitha warna tumhare comment par us ka comment to aasman par thooka jaisi lagti hai. baharhal meri aankhon ke goshon ko tar karne ke liye tumhari aur vogue theatr ki comment kamyab ho gayi . mere liye dua-e-khair karo aur sehuniyon ke liye rah-e-rast par aane ki gidgidhahat karo.
anis javed
anis javed
anis javed
#15 - Quote - Permalink
Posted 08:22:2006 - 00:39:12:

a theatre goer
aapp ki comment se mere derina dost Aftab Hasnain ke alfaz ki khushboo aa rahi hai.allah kare unka dayera-e-ahbab wasee hota rahe.
jis admi ko kitaabghar tak pahunchane ki sidq dil se koshish is nacheez ne ki woh itni chhoti zahiniyat ka ho sakta hai ye mere intekhab-e-dosti ki tauheen hai.
main aatank wadi hoon janab main khooni hoon ka badla hua naam hai aur ise main ne 1978 mein likha tha aur 1979 mein use inaam se nawaza gaya tha.hoon vallabh nathi ka san-e-ishat ya stage performance batana gawara karenge janab !
urdu adab ka nara buland karne wale wo adeeb jo urdu adab ki bhalayee i duhayi dete hain unhen main achhi tarha janta hoon. apne aap ko hindi adeeb ka darja dilwane ke liye taslima nasreen,hamid dalwai,salman rashdi aur sasti shohrat pane ke liye be tab urdufarosh adeebon se meri guzarish hai ke urdu kitaabghar jaisi hum nacheezon ki is karam farma site ko khudara zaleel siyasat {rss siyasat ya sehuni siyasat}ka akhkhada na banayen.theatre goer jaise khudsakhta naam gadh lene se koi theatre ka woh bhi urdu theatre ka bhala kya kar sakta hai?
ahqar tareen...anis javed
A Theatre Goer
A Theatre Goer
#16 - Quote - Permalink
Posted 07:25:2006 - 11:08:16:

Abhi Tou Raat Hai balkeh kali bhayanak raat hai jo Urdu dramon ko andhere mein gum kar rahi hai.
Drama, -Abhi tou Raat Hay- filmy hai.
-Main Aatankwadi Hoon- parh kar gujrati drame, -Hoon Vallabh Nathi- ki yaad aa gayee.
Kahan hai Urdu drama?
Iss se Urdu adab ka kya bhala hua?
Maharashtra Urdu Academy ke inamaat ko ginwa kar Anis Javed ne apni chhoti zahniyat ka muzahira kiya hai kyun keh yeh inamaat theatre ya adab mein koi ahmiyat ke hamil naheen.
Khudara Urdu adab ki tauheen se gurez karein!
Adnan Saeed Serkhot
Adnan Saeed Serkhot
#17 - Quote - Permalink
Posted 07:25:2006 - 10:11:03:

Being an urdu theatre seeker we always are in search for orignal urdu plays , thats true for each of us either collegeiate level or professional based .It was my bad luck that i couldnt see anees javed-s plays but i read most of them and they are simply fantastic , specially i liked chal musafir , congrats on getting your book online so that more people can read an appreciate your work . At the same time i would request you to write more new plays , as far as my understanding goes anees sir hasnt written urdu plays recently or either they arent published .If that can be done , would be great ..
One more thing i would like to tell all those who read this about him is his simplicity and down to earth nature which proves that he is a good writer , as somebody said " a good writer need to be a good human " ...
Cheers !
Adnan saeed Serkhot
Vogue theatre group
Mumbai

Urdu Theatre Artist
Urdu Theatre Artist
#18 - Quote - Permalink
Posted 07:01:2006 - 20:51:11:

Anees saheb,
i agree that your plays are good , but i am expecting something more creative and new from you ,,hope you will write more new plays ..All the best and Warm regards
Rasheed Baig (Hyderabad)
Rasheed Baig (Hyderabad)
#19 - Quote - Permalink
Posted 05:19:2006 - 19:36:08:

There is nothing to comment! I will only say that I do agree with the comments of Najma Qureshi.
Najma Quraishi
Najma Quraishi
#20 - Quote - Permalink
Posted 04:04:2006 - 10:19:15:

-Abhi Tou Raat Hai- aur - Sab Theek Hai- dono ke drame taqreeban ek se hain.Wohi corruption, bud-unwanian aur gandi siyasat ka markazi khayal aur likhne ka andaz bhi wohi. Kya urdu drama naweeson ko iss ke alawa koi aur mauzu nazar nahin aata. Agar yehi haal raha to Urdu dramon ki hamesha raat rahegi!
Haan, Tolstoy ki kahani per mabni drama, -Do Gaz Zameen- kuchch alag hai iss liye kuchch achcha laga.

Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.

Please login or register.