Details
Tamasha-e-Ishq
Website | ||||||
Description | Tamasha-e-Ishq k do buniadi kirdare, rashida aor raoof, bazahir insani jazboon par apni roedad ko imarat kar rhay hain lakin dar haqeeqat woh qismat aor ishq k mohray banay hoey halad k ghin chakkar mein pistay hain. donon apni apni khahishat ko pora karna chahtay hain magr ihsas-e-km maegi aor apni zaat se lipti hoi aalishon se khof zada bhi hain k aany walay waqt mein un ki khushian be dardi se nigal na li jaen. is novel me barah e rast ishq khul kar qismat k samnay ata milta hay aor qismat bhi is k khooneen khail se uktai hoi dikhai deti hay. qismat aor ishq mein se fatah kis ko naseeb hoti hay, yahi is novel ka climex edge hay. un ka ye novel jis k markzi kirdar rashida aor raoof hain, apnay qari ko is tarah grift mein leti hay k jb tk wo aakhri satar parrh na lay, kitab ko shelf mein naheer rakhta Nasir Malik ka shumar Urdu k ma'aroof afsana nigaron mein hota hy. Unhoon ne boht khubsurat kahania takhleeq ki hain jn ki ahl-e-adab ne khulay dil se pazeerai ki. wo kahani k kirdaron ko moasharti lehaz se tashkeel daitay hain aor un k likhay hoey novel ko parrhaty haey yu mahsoos hota hay jaisy jeeti jagti kahani ko parrha naheen , bal k dekha ja rha hay. |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | Mun'am | |||||
Views | 6239 views, 0 incoming clicks. Averaging 1 view and 0 incoming clicks per day. | |||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 11:09:2010 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on Tamasha-e-Ishq
good story. romance and fiction is running on top bridge level. rashida affections are un forgetable and raoof appeared as a harsh and hot lover. end is un acceptable. marks to story: 90/100