Details

KahaniaN JanwaroN Ki

Website
Visit Website
Description
This book contains collection of very short stories teaching different morals for childrens and kids by Aftab Hasnain. He is well known, seasoned, Indian drama and story writer. He has produced many books of stories, dramas and even TV Plays. This book contains following stories: Lalchi GeedeR (Greedy Jackal), GhumanDi GainDa (Proud Rhino), Kahil Sher (Lazy Lion), Chor Bander (Thief Monkey), Zalim Cheel (Cruel Kite), Bayiman LomaRi (fouling fox), maghroor cheunti (proud ant), buri adat (bad habit), battakh or murghiaN (duck and hens)
Rating
  • 91.8/5
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
4.59/5 based on 27 votes.
Ownership webmaster
Views 71678 views, 6 incoming clicks. Averaging 10 views and 0 incoming clicks per day.
Incoming Clicks 6
Related Listings
Similar Listings
Sab Theek Hay
Guldasta-e-Olia
Mission Aman
Naddi
Margzaar
Submission Date 01:25:2006

Comments on KahaniaN JanwaroN Ki

Shabnam Shua- - Lucknowi
Shabnam Shua- - Lucknowi
#21 - Quote - Permalink
Posted 01:12:2007 - 15:35:44:

MaiN eik mua-llima hooN. Eik dost ne site kay baare meiN bataya tou kuchh hi dinoN se logon karna shuru kiya hai. ChooNke bachchoN ko padhati hooN isliye JaanwaroN ki kahaaniyaN parhani shuru kar deeN. Wah! kya baat hai Aftab Sahab ki kahaaniyoN ki. Azhad mussarrat huee yeh kahaaniyaaN parhkar lekin afsos bhi hua ke apne watan kay musannif ki jaanwaroN ki kahaaniyaN hamlog pakistani site par parh rahe haiN. Aisa kyooN hai? Isliye ke hammare des meiN urdu aur urdu musannifin ko leikar bateiN bahut badi badi hotee haiN. Bade bade seminar hote haiN magar eik adad site shuru karne kay liye koyee taiyaar naheeN. Main aur mujh jaise tamaam qaary-in ki taraf se kitaabghar ko dili mubarakbaad. Shaayad "Kitaabnuma" mein dekha un musannifin kay naam jinko UP Urdu Academy ki taraf se Award mile haiN. UnmeiN Aftab Hasnain ka naam bhi hai. Magar kahaaniyoN ko lekar naheeN balke Urdu Drame ko lekar. Abhi abhi aapki site par aapke kisi well wisher ka comment bhi parha. MaiN uski taayeed kartee hooN aur guzaarish kartee hooN kitaabghar waloN se ke Aftab Hasnain ki Drame ki kitabeiN bhi apni site par le aayeiN.
A Well Wisher Of Kitaab Ghar !
A Well Wisher Of Kitaab Ghar !
#22 - Quote - Permalink
Posted 12:11:2006 - 22:25:19:

This year AFTAB HASNAIN has been awarded, prestigious -Uttar Pradesh Urdu Academy Award (2006)- for his book, -DRAMA NAGAR-(collection of original one-act-plays)! I heartly congratulate him for this honour and request -Kitaab Ghar-, to kindly publish online version of this award winning book for the benefit of online readers like me. Thanks (in advance)!
Tasneem Suleman
Tasneem Suleman
#23 - Quote - Permalink
Posted 10:01:2006 - 21:52:53:

Baat rishteydari ki nahin, baat hai aankhon se Shaitaani chashma utaar kar parhne ki! Bahot achchi kahaniyan hain, parh kar achcha laga aur sab se achcha Kitaab Ghar per bachchon ki itni sari kitabein dekh kar laga! Insha Allah sab paruhngi.
a well wisher
a well wisher
#24 - Quote - Permalink
Posted 09:29:2006 - 15:20:46:

aaisi aur kahaniyo ki zaroorat hai khuda kare zore kalam aur ho jiyada.
theatre goer2
theatre goer2
#25 - Quote - Permalink
Posted 09:02:2006 - 00:07:09:

har amal ka raddeamal hota hai abbas saheb.aap kisi ke peechhe padenge to aap ka bhi peechha hoga.waise theater goer ne to kabhi aap ke rishtedar ki shaan mein koiyee gustakhi nahin ki .aap tilmila kyoon gaye? raha qabliyat aur salahiyat ka sawaal is ke liye aap ko judge banaya kis ne?
Sayed Abbas
Sayed Abbas
#26 - Quote - Permalink
Posted 08:27:2006 - 22:47:44:

Samajh mein naheen aata keh kuchh log Aftab Hasnain ke peechhe kyun pade hain? Shayad unn ki be-panah salahiyat aur qabiliyat unn logon ko hazam nahin ho pa rahi hai, shayad issi liye kabhi -Iqbal- tou kabhi -Naam mein kya rakha hai- tou kabhi -theatre goer- ban kar Aftab Hasnain per hamla kar rahe hain. Agar yeh log dayanatdari se -Kahaniyan Janwaron Ki parh lein tou aisi harkat nahin karein! Khuda Aftab Hasnain ko -nazre bud- se bachaye!
AZEIM MALIK, SHARJAH
AZEIM MALIK, SHARJAH
#27 - Quote - Permalink
Posted 08:26:2006 - 23:46:27:

"lagta hai kisi comment ki tardeed karne ke liye kuchh log bilkul tayyar bithaye gaye hain."
CHALIYE YEH TOU MA-ALOOM HUA KE HAZRAT TORMENTO-ACTOR HAIN. WARNA NAAM PARHANE KAY BAAWAJOOD MUJHE "KUCHH LOG" KAY LAQAB SE NA NAWAAZATE. NAAM PARH KAR BHI AGAR MUJHE NAHEEN PAHECHAAN PAAYE TOU YEH UNKI BADQISMATI HAI. AGAR ISS TARAH KAY COMMENTS KO TABSARE YA TANQEED KA NAAM DIYA JAAYEGA TOU SACHCHE NAQQAAD KI SEHAT KAY LIYE TOU MUDIR HOGA HI URDU ADAB KAY SAATH BAHUT BE-ADABI AUR BADI NAA-INSAAFI HOGI.
EIK BAR PHIR KAHOONGA KE AISE LOGON KO PAHELE ZUBAAN SEEKHANA CHAAHIYE
ACHHE ADAB KA MUTAALA- KARNA CHAAHIYE PHIR TAMEEZ KA PATKA SAR PAR BAANDH KAR ISS MAIDAAN MEIN KOODANA CHAAHIYE.
ALLAAH TABAARAK WA TA-ALA AISE LOGON KO AQL-WA-FAHEM ATA KARE TAAKE AISE LOUG AFTAB HASNAIN KI KAHAANIYAN PARH AUR SAMAJH SAKEIN.
FEE AMAANILLAAH!

(sharjah se,dubai se,ya ????)warna aaj tak kabhi nahin dekha gaya hai ke tabsare par tabsara yoon fauran wo bhi baqayeda ramooz o auqaf ke saath do din mein hi aa gaya ho.internet ka zamana hai janab!hai na?waise ek baat qabile tareef hai ke comments ki daud mein khud ko aage rakhne mein door daraz ke rishte dar bade kaam aate hain.
A THEATRE GOER2
A THEATRE GOER2
#28 - Quote - Permalink
Posted 08:25:2006 - 23:23:33:

"School ke zamane se le kar aaj tak na jaane kitni kahaniyan parhi hain lekin -Kahaniyan Janraron Ki- Parhne ke baad laga jaise sahi maanon mein bachhon ki kahaniyan aaj hi parhi hain."
Rukhsana Sayeed kay yeh alfaaz unki aql wa fahem ki ghammaazi karte hue eik sachche Qaari ki saadagi aur maasoomiyat ka bhi bharpoor izaheer kartee haiN.
lagta hai kisi comment ki tardeed karne ke liye kuchh log bilkul tayyar bithaye gaye hain.(sharjah se,dubai se,ya ????)warna aaj tak kabhi nahin dekha gaya hai ke tabsare par tabsara yoon fauran wo bhi baqayeda ramooz o auqaf ke saath do din mein hi aa gaya ho.internet ka zamana hai janab!hai na?waise ek baat qabile tareef hai ke comments ki daud mein khud ko aage rakhne mein door daraz ke rishte dar bade kaam aate hain.
AZEIM MALIK, SHARJAH
AZEIM MALIK, SHARJAH
#29 - Quote - Permalink
Posted 08:25:2006 - 20:35:48:

"School ke zamane se le kar aaj tak na jaane kitni kahaniyan parhi hain lekin -Kahaniyan Janraron Ki- Parhne ke baad laga jaise sahi maanon mein bachhon ki kahaniyan aaj hi parhi hain."
Rukhsana Sayeed kay yeh alfaaz unki aql wa fahem ki ghammaazi karte hue eik sachche Qaari ki saadagi aur maasoomiyat ka bhi bharpoor izaheer kartee haiN.
MaiN jab Sharjah mein hota hooN tou namaaz, neend, tanaavil aur deegar tamaam zaroori fei-yl se jo bhi waqt bachata hai sirf do site par kuchh na kuchh padhata raheta hooN. Kitaab Ghar par tamaam kitaboN ka maiN taqreeban mutaala- kar chuka hooN. "KahaniyaN JanwaroN ki" kay comments parh raha tha tou Mohatarima Rukhsana kay taassura-at par kisi naatak wale ne bade naatkiya andaaz meiN Mohatarima Rukhsana kay Jazbaat ko thes pahuNchane ki badi bachkana see koshish ki hai. Iss koshish meiN Adakar/natakkar/hidayatkar ya parda kheiNchane wale (wallaahu a-alam bissawaab), jo bhi haiN yeh saahab, apne aap ko Urdu Adab ka mustanad jaankar hone ka dawa karte hue Chacha Ghalib kay eik she-yr ko majrooh karne meiN poori kamzarfi aur mutaala- ki kami ka khula izhaar kar dala hai. Imle ki ghalati naheen balke alfaaz hi kha gaye haiN. Chacha ki rooh ko takleef zaroor pahuNchi hogi. Allaah Tabaarak wa Ta-ala inheiN aqle saleen ata kare aur zarf se nawaaze. Aameen summaameen.
Inn sahab ko maiN eik baat zaroor batana chaahooNga ke Qari aur Musannif kay beech sirf eik hi rishta hota hai aur woh hai Qari aur Musannif. HaaN agar aapne yeh kahaaniyan parhi haiN aur Janab Aftab Hasnain se koyee rishta banaana chaahete haiN tou yeh kahaaniyaN dobara gHaur se parheiN{semicolon} kisi na kisi kahaani meiN aapko apna kirdar bhi mil jaayega aur shaayad koyee rishta bhi.
Allaah Ma-afi
usman malik
usman malik
#30 - Quote - Permalink
Posted 08:24:2006 - 21:54:20:

hoshiyar janab!
yeh Najma qureshi aur theatre goer na jane kis zahiniyat ke log hain ke unhe har writer ki tasneef mein siwaye keedon ke aur kuch nazar hi nahin aata. main ne in dono ke comments kayee kitabon ke liye dekhe,lagta hai ke agar kisi ne tareefi kalmaat likh diye to ye use radd karna apna paidayishi haque samajhte hai. aap ki kitab ke liye to comments ka ambar sa lag chuka hai, ab aap ki baari hai.woh dono kitaab padhen na padhen ,keede zaroor nikalenge,waise ho sakta hai ke meri baat ki tardeed mein na chahte huye bhi wo aap ki taareef karden.


Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.

Please login or register.