Details

Hijrat ke tamashay

Website
Visit Website
Description
Collection of stage dramas by Jawaid Danish, a distinguished Indian prose writer who is residing in CANADA for the last 28 years. He earned a good name in drama writing. He wrote many books including, dramas, short stories, travelouges and translation of other books into urdu. He has won many awards and medals.

His Book "Hijrat ke Tamashe" (collection of dramas on migration and problems of migrators) is one of its kind and has won Canadian "Best Book of the Year" award in year 1999 and Urdu academy Kolkata (India) award in year 2000. This book was also translated into Bengali and Kannada.
Rating
  • 90/5
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
4.5/5 based on 14 votes.
Ownership webmaster
Views 15326 views, 2 incoming clicks. Averaging 2 views and 0 incoming clicks per day.
Incoming Clicks 2
Related Listings
Similar Listings
Naddi
Margzaar
Hikayaat
Durr-e Shehwar
Teesra Hath
Submission Date 07:17:2005

Comments on Hijrat ke tamashay

AMIT DAAR...MONTREAL.
AMIT DAAR...MONTREAL.
#11 - Quote - Permalink
Posted 09:14:2006 - 06:52:33:

Yeh Ishq Nahi Aasan Bas Itna Samajh Lijye
Ek Aag Ka Daryaa Hai Aur Doob Ke Janaa Hai !

Doston...Danish Has crossed that River Of Fire, He Has Established His Name In Post Modern And Experimental Theatre, especially Urdu Plays. I agree with Dr. Hasan, Hijrat Ke Tamashey, Is The First Collection Of Urdu/Mahjari Plays, On Immigrants and Their Pleasure and Problems...Congrats...Danish Saheb !
KAMAL JAFREY, ALL INDIA RADIO, PATNA.
KAMAL JAFREY, ALL INDIA RADIO, PATNA.
#12 - Quote - Permalink
Posted 09:07:2006 - 08:02:59:

"HIJRAT KE TAMASHEY" EK JAHAN E TAZA KI SAIR KARATE HAIN-DANISH KI DRAMA NIGARI KA SAFAR A.I.R. KOLKTA SE DO DAHIYON QABL SHURO HUA THA, WOH DAUR UNKI BALA KHAIZEE KA DAUR THA.
HIJRAT KE TAMASHEY KE DRAME SAR ZAMEEN E MAGHRIB PE MASHRIQ KI RUHANIYAT KI TALASH PAR MABNI HAIN. YEH DRAME DARASL MAHAJIR KHANDANON KI SAWANEH UMRIYAAN HAIN, JO MA-ADDI AASAAISHON SE TU SARFARAAZ HAIN LEKIN RUHAANI KASHMAKASH KA SHIKAAR HAIN.
MAIN NE PAHLI BAAR URDU DRAMOM MAIN YEH KAIFIYAT PAYEE HAI.
Prof: SAHAR ANSARI..KARACHI UNIVERSITY.PAKISTAN.
Prof: SAHAR ANSARI..KARACHI UNIVERSITY.PAKISTAN.
#13 - Quote - Permalink
Posted 08:18:2006 - 07:08:38:

Jawaid Danish Ki Tahreeron Se Moujuda Daur Ke Shaour Ki Akkassi Hoti Hai. Danish Main Drama Likhne Aur Stage Karne Ki Khaas Salahiyat Hai. Unhoon Ne Drama Nigari Wahan Se Shuroo Ki Hai Jahan Se " RAWAYATI DRAMA - Khatam Hogaya Tha. Inke Drame Aalami Satha Ke Jadeed Ruhjaaniyat Ke Hamil Hain !
HIjrat ke tamashey par main Unko Mubarakbaad pesh karta Hun.
EKRAAM BARAILVI-TORONTO/PLAYWRIGHT.
EKRAAM BARAILVI-TORONTO/PLAYWRIGHT.
#14 - Quote - Permalink
Posted 08:06:2006 - 23:11:20:

" Hijrat Ke Tamashey" main Shamil Tamaam drame, darasl, MAKHSOOS KIRDAARI MUTA-LE, aur MAKHSOOS MOUZUYEE ANAASIR, Yani Hijrat Ke Karb O Aagahi se milkar Tashkeel Pate Hain, aur inke liye Issi Zahni Faza, Issi Aab O Hawa Ki Zaroorat Hai, Jismain Dhal Kar Yeh Aapke Saamne Aaye Hain, Yeh Bunyaadi Anaasir Pesh e Nazar Rahain, to Yeh Drame Tafreeh Ka Samaan Hote hue Bhi, Dawat E Fikr Dete Hain, Aur Unki Nukta Nawazi, Woh Harf E Raaz Samjhaati Hai, Jo Drame Ki BUN-AT Aur HAIYEEYAT Main Yuon Dekhne Ko Moujood Nahi, Magar Har Sachhe Fanpaare Main Bainassatur Mujalla Nasheen Hua Karti Hai.
PROF. EZAAZ AFZAL. KOLKATA.
PROF. EZAAZ AFZAL. KOLKATA.
#15 - Quote - Permalink
Posted 08:04:2006 - 06:23:48:

- HIJRAT KE TAMASHEY -

- SAFHA E QARTAAS PAR TAPKA HAI AANKHON SE LAHU
HIJRATON KA MAAJRAA GULKARIYE KHAMAA NAHI
JABR KI TAREEKH HAI JAWAID DANISH KI KITAAB
YEH KISI SHAIR KA JAZBAATI SAFARNAMAA NAHI !
Dr. Mohammad Hasan. New Delhi.
Dr. Mohammad Hasan. New Delhi.
#16 - Quote - Permalink
Posted 07:31:2006 - 01:19:00:

Jawaid Danish Ke Drame Un Tahzeebi Aqdaar Ki Kashmakash Ko Peesh Karte Hain, Jo Aik Ma-ashre Se Nikal Kar Doosre Ma-ashre Main Aabaad Hone Se Paida Hoti Hai Aur Purani Aur NaYee Nasl Ke Darmiyan Nai Faasle Aur Anokhe Masael Paida Karti Hai. In Daramon Main " A-ayeen Nau Se Darne Aur Tarz E Kohan Par Arne " Ke Khilaaf Aawaaz Buland Ki Gayee Hai, In Main Haal Aur Mustaqbil Ko Khandan Paishanee Aur Kushaadaa Jabeeni Se Qubool Karne Ka Housalaa Moujood Hai, Fikr E Farda, Aur Yaad E Maazi Se Abaad In Tamseel Paaron Main, Aik Aise Fankaar Ki Dard Mandi Numayaan Hai, Jisse "Husn Se Bhi Lagao Hai Aur Zindagi Bhi Azeez Hai ", Ma-ashre Ki Tabdeeli Se Paida Shuda Tahzeebi Kashmakash Ki Yeh Aawaaz Pahli Baar Urdu Drame Main Ubhree Hai !
A Theatre Goer
A Theatre Goer
#17 - Quote - Permalink
Posted 07:25:2006 - 16:32:48:

I do agree with Mr. Rasheed Baig. -Hijrat Ke Tamashay- fan-e-drama ka tamasha hai.
Rasheed Baig (Hyderabad)
Rasheed Baig (Hyderabad)
#18 - Quote - Permalink
Posted 05:25:2006 - 00:08:54:

Sirf lambe lambe dialogues likhne ka naam drama naheen. Drame main drama hona zaroori hai jo -Hijrat ke Tamashay- ke kisi bhi drame mein naheen
JAWAID DANISH.
JAWAID DANISH.
#19 - Quote - Permalink
Posted 04:19:2006 - 07:59:46:

" ZIKR MERA MUJH SE BEHTAR HAI KE ISS MAHFIL MAIN HAI...."
Dear Riaz bhai, Mehnaz Saheba, Mikanor and Saman Gul ji....Thanks a
lot for your comments and criticism. I am visiting here first time, great to know that my wellwishers are guiding me, in my writing ventures. Two of my Books are ready in press, "INQILAAB E ZANJ - A collection of International Revolutionary Plays/Translation, and another collection of Original Plays "CHALEES BABA EK CHOR -, I am also busy for another T.V. presentation "TANHAIYAAN MUSKURANE LAGEEN- due in Summer.
Baqi phir Kabhi..... ! nod
saman gul..canada
saman gul..canada
#20 - Quote - Permalink
Posted 04:12:2006 - 21:53:56:

Unless one has resided in the west, they will not fully enjoy and understand Hijrat Ke Tamashay, its real, its challenging and very contemporary(two of its plays were produced on Omni TV toronto recently), I think this is the first collection of Urdu plays, dealing with the challenges and problems of Immigrants in the west especially in canada. Its a wonderful addition to experimental Plays.
congratulation jawaid danish, I am awaiting your next Book.

Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.

Please login or register.