Details
KahaniaN JanwaroN Ki
Website | ||||||
Description | This book contains collection of very short stories teaching different morals for childrens and kids by Aftab Hasnain. He is well known, seasoned, Indian drama and story writer. He has produced many books of stories, dramas and even TV Plays. This book contains following stories: Lalchi GeedeR (Greedy Jackal), GhumanDi GainDa (Proud Rhino), Kahil Sher (Lazy Lion), Chor Bander (Thief Monkey), Zalim Cheel (Cruel Kite), Bayiman LomaRi (fouling fox), maghroor cheunti (proud ant), buri adat (bad habit), battakh or murghiaN (duck and hens) |
|||||
Rating | ||||||
Ownership | webmaster | |||||
Views | 71700 views, 6 incoming clicks. Averaging 10 views and 0 incoming clicks per day. | |||||
Incoming Clicks | 6 | |||||
Related Listings | ||||||
Similar Listings |
|
|||||
Submission Date | 01:25:2006 |
Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.
Please login or register.
Comments on KahaniaN JanwaroN Ki
School ke zamane se le kar aaj tak na jaane kitni kahaniyan parhi hain lekin -Kahaniyan Janraron Ki- Parhne ke baad laga jaise sahi maanon mein bachhon ki kahaniyan aaj hi parhi hain.
Rukhsana Sayeed sahiba!Afreen aap ke tabsare par,waqayee ise kehte hain sar aankhon pe bithana ya zamin ko aasman kehna ya Urdu adab mein ek lafz hai "ta-alli"(ho sakta hai ke english imla galat ho)
jaise galib ne jab kaha
yoon to duniya mein sukhanwar bahut achchhe
kehte hain ke galib ka hai andaz-e-bayaan aur
un ke hum asron ne ise ta-alli kaha
aap to qaari ho kar ta-alli ki hadon se paar ho gayin. aap rukhsana sayeed saheba kahin author ki rishtedar to nahin?(wallah aalam bissawab)
School ke zamane se le kar aaj tak na jaane kitni kahaniyan parhi hain lekin -Kahaniyan Janraron Ki- Parhne ke baad laga jaise sahi maanon mein bachhon ki kahaniyan aaj hi parhi hain. Kya kahoon, kaise tareef karoon keh kaee safhat darkar honge apne comments pesh karne ke liye. Kahaniyon se hut kar, pesh lafz mein -Kahani Chacha- ke kirdar ne zahan per bahot asar kiya!
Mubarak Kitaab Ghar, Mubarak Aftab Hasnain!
This compliment goes not only for Aftab Hasnain but for Kitaab ghar as well, for spreading urdu literature .Having urdu books online is a great deal , if u all feel it the same way it is so difficult to get new books either stories and plays in urdu , we either go to an urdu book stall which hardly has book in stock or have to borrow from here and there .
To Talk about the book "kahaniyan janwaron ki " ..i really liked the idea and treatment of the book and offcourse the stories.It contains all the elements which a kid should need in a story , it contains simplicity to understand , thrill , a lesson and all in a cmpact form ..isnt that Great .!!
Congrats Aftab hasnain ..and please keep this work continous ..
Warm Regards
Adnan Serkhot
Vogue Theatre group
Mumbai
India
Shakaib Sahil has aptly said,
-Kitaab Ghar, hum adab ke pyason ke liye fee sabilillah pyas bujhane ki sabeel hai!-
-Kahaniyan Janwaron Ki- ke liye Aftab Hasnain ki jitni tareef ki jaye kam hai.
Un ki dramon per mabni dou kitabon, -Drama Nagar- aur -Allahhumma Labaik- ka aaj kal akhbaron mein bada charcha hai. Khas kar drama, -Allahhumma Labaik- tou her adbi circle mein charcha ka mauzu hai.
Kya Kitaab Ghar in dono kitabon ko online kar sakta hai? Nawazish hogi!
Kitaab Ghar, hum adab ke pyason ke liye -fee sabilillah- pyas bujhane ki sabeel hai.
Aftaab Hasnain sahab drama aur ilm o adab ka ek moatbar naam hain. Inki do kitaabon DRAMA GHAR aur ALLAHUMMA LABBIAK ke talluq se famous news paper URDU TIMES me padha tha. Kahaniya Janwaron ki bachchon ke adab ki jaanib ek mustasan qadam hai. Allah aftab sahab ke qalam me aur taqat de- AMIN
Parh Kay Bachche Hue Dana Or Sayaane Bachche
Tere Andaaz-E-BayaaN MeiN Bhala Aisa Kya Hai?
Keep it up Mr Aftab Hasnain n Kitaab Ghar.
Allaah Iss bare neik kaam ki aapko jazaa dega. Insha~Alaah.
Wai Aftab Hasnain! Kamaal kar ditta yaar. Haur KitaabaN haiNgi twaade kol BachchyaaN de wastey. Upload yaar! Mere bachche bada mazaa lekar sunate haiN jab Main Sher ki acting karke padhata hooN woh kahaaniyaaN.Kitaab Ghar di haur twaadi BALLE BALLE BALLE.....!!!
Sab se mazedaar comment hai, parh kar dil bagh bagh ho gaya!!!
Meri bhi Aftab Hasnain se ilteja hai keh unki doosri kahaniyan bhi Kitaab Ghar ko dein aur main Anjum Ansari (comment) ki iss baat se bhi ittefaque karta hoon keh insani kirdaron wali kahaniyan bhi likhein (aap ne tou bahot si likhi hongi) aur un se hamein faizyaab hone ka sharaf hasil karne dein.In kahaniyon ke zariye Urdu Adab mein aap qayamat tak zinda raheingay!
Yahan Jab ki Urdu dramon aur kahanoyoun ki killat hai ...agar koi urdu writer likh raha hai, yeh ek badi baat hai ...we all can hradly write or act a play ..to get a good script is indeed a big effort of the writer and i highly appreciate aftab hasain-s effort..
Wai Aftab Hasnain! Kamaal kar ditta yaar. Haur KitaabaN haiNgi twaade kol BachchyaaN de wastey. Upload yaar! Mere bachche bada mazaa lekar sunate haiN jab Main Sher ki acting karke padhata hooN woh kahaaniyaaN.Kitaab Ghar di haur twaadi BALLE BALLE BALLE.....!!!