Details

Bazigar

Website
Visit Website
Description <br>Bazigar by Muhammad Azam Khan is a social reforming, coming of age story of a simple village boy who left his home due to unfavourable circumstances. He was innocent and novice when he left home, but hardships of life, people behaviour and cruel world ripped his innocence and changed his thoughts. He became one of them and started to seek revenge from other people. He started to think only about himself. He could do anything for his own interest. He achieved his goal of success, wealth, fame and power but he lost his self-dignity, his true innerself.
Rating
  • 0/5
  • 1
  • 2
  • 3
  • 4
  • 5
0/5 based on 0 votes.
Ownership webmaster
Views 14544 views, 0 incoming clicks. Averaging 3 views and 0 incoming clicks per day.
Submission Date 12:28:2010

Comments on Bazigar

altaf HUSSAIN
Avatar altaf HUSSAIN
Posted 12:28:2012 - 20:16:39:

GREAT NOVEL BY AZAM KHAN SB.
WRITER NY BHUT HI KHOOBSOORAT ANDAZ MAI HAMARY MOASARY KI SACHI TASVEER PAISH KI HY, AAJ KAL K DOUR MAI YR BHUT HI UMDAA KAAVISH HAY.
THANKS TO AZAM KHAN & KITAAB GHAR
Asad
Avatar Asad
Posted 05:08:2012 - 15:08:49:

I'm new in kitabghar but the very first story i read is the block buster,the author wrote the story in a new way the plate form of the story is brilliant indeed really good novel. keep it up Mr. Mohd Azam.nod
RANA UMAIR JAVED
Avatar RANA UMAIR JAVED
Posted 07:30:2011 - 20:56:16:

jnb meai ny apka novel prha mjy bht acha lga.
Meai ny apni maa g ko b sunaya hai unhain bht psand aya hai.mri maa g ka khna hai k ap ny krdaroan meai haqeqat ka rang brh diya hai.
Dil chahta k issy baar baar prha jae.
Rafi Rao
Avatar Rafi Rao
Posted 05:07:2011 - 19:55:54:

O jnb is pr ak drama ho jana chahye .arman k ilawa 2nd option ye novel thk hai.
mari
Avatar mari
Posted 05:04:2011 - 21:34:23:

aj k time ki bohat e alaa story ha.. or reality k bohat kareeb ha.. writer ny bohat hard work kya ha jo k start sy end tak bilkul nazar aa raha ha..or ma to end sy bilkul satisfy hun bcoz jameel agar pakra jata to ya ak typical drama ban jata or reality khatam ho jati..waiting 4 ur new nd superb story like this..
mari
Avatar mari
bazigar novel by muhammad azam khan
Posted 05:03:2011 - 23:28:03:

bohat alaa story ha. or reality k bohat kareeb ha. ma to end sy blkul satisfy hun ager jameel pkra jata to ya ak typical drama ban jata or reality khatam ho jati.. waiting 4 next superb story like this..
Ms.bhatti
Avatar Ms.bhatti
Posted 05:03:2011 - 21:34:04:

I agree with Ahmed. But at the same time it really portrays the truth. An exceptional story. مبارك to the author.
M. Abrarul Haque (India)
Avatar M. Abrarul Haque (India)
Posted 03:03:2011 - 16:27:27:

Muhammad Azam Khan ke novel ko main ne nahi parha hai balkeh mere jaise masroof tareen shakhs ko is novel ne parhwa lia hai. Yeh is novel ki intehai ehm khasusiat hai keh ise aik bar parhne wala qari khatm hone se qabl shodne ko tiar nahin, is lehaz se yeh aik kaamyiab novel hai, main ne guzashta 30 barson ke baad koi novel parha hai, mujhe novel pasand nahin, main koi novel likhne ka kabhi nahin socha laiken is novel ko parhne ke baad meri bhee khawahish novel likhne kee ho rahi hai, novel ko pasand karne kee dusri sub se ehm wajha is novel ke hero Jeelu yaani Jamil yaani Ch.Sahab ke kirdar kee haqeeqi akkasi hai. Doosre novelon kee tarha is novel ka hero hamaisha be inteha khoobion ka malik nahin hai. Is novel ke hero main khoobiun ke saath saath kush khamian bhee hain, jaise jaise us kee mali halat behter hoti jati hai mazeed daulat ikitha karne kee us kee haws barhti jati hai aur bay inteha paise kee lalach main aa kar ghaleez se ghaleez kam karne mein bhee nahin hichkichata, us ke liay woh makkari, dhoka bazi aur ehsan framoshi jaise hathkande uthane se bhee guraiz nahin karta.
Novel nigar ne is novel mein haath per haath dhare un berozgar naujwanon ko mehnat aur her tarha ke kam karne ka paigham dia hau aur kamal hikmat se kaamyiabi ka zeena stage dar stage teh karne ka tareeqa bhee bataea hai.
Novel kee jo baat dil ko shoo gai woh heo ka soft spoken hai, mera bhee yahi khyial hai meh meethi boli aur tactful behaviour say bare se bara kaam bhee aasani se anjam pa sakta hai.
Musanif ne is novel mein tijarat ke aise aise gur sikhae hain jin ko apna ker haqeeqi maanon mein business ko frog dia jaa sakta hai, is liay meri nazar mein as novel kee afadeeat sirf tafreeh ke liay nahin hai balkeh business shuroo karne waalon ya na kaamyiab business man key liay aik mashal e rah hai.
Novel ka plot la jawab hai, koi waqia yun he nahin ho jata hai balkeh nahayet chabakdasti se as ka reasonable ground dia gia hai jab keh ziada tar novel nigar ya kahani kar qalm pakr kar sochta hai keh woh apni marzi ka malik hai aur kahani ko jis andaz mein chahta hai moar daita hai jis se boht see baatain anhoni maaloom hoti hain jab keh bazagar ka her waqia natural maaloom hota hai, mere khyial mein naujwan business man ko yeh novel tohfe mein diea jaane ke qabil hai.
Yeh novel agr hindustan mein aa jaae to yehan kaafi maqbool ho ga, is novel ko parhne se aisa nahin lagta keh yeh musanif ka doosra novel hai balkeh aisa lagta hai keh kisi manjhe huie novel nigar kee koi takhleeq hai.
vicky prince
Avatar vicky prince
Posted 02:20:2011 - 03:53:47:

azam sahib chaaaa gay o tusi.........
ap ka novel parh k buht maza aya..........
nod{semicolon})keep it up
Riaz Abbasi
Avatar Riaz Abbasi
#10 - Quote - Permalink
comments
Posted 02:01:2011 - 22:13:33:

bazigar ki story hut kar hae bohat dino baad achi kitaab parnay ka chance mila hae aur ye aisi kitab hae jis ko shuru karnay ke baad khatam kiye baghair rah nahi ja sakta

Sorry, you don't have permission to post comments. Log in, or register if you haven't yet.

Please login or register.